Thursday, November 4, 2010

Hack server to speed up internet

hello freinds main fir se aa gaya hun ek intersting si trick lekar actually aisi baatein pata find karne me bada maza aata jo kam logo ko pata ho aur jab logo ko pata chal jata hai to dil ko bada sukun milta hai. khair chhodiye in sab bato ko direct kaam ki baat par aata hun.

maine isse pehle bhi internet aur firefox ki speed badhane ke tariqe bataye the umeed hain kaam kar gaye honge, agar apne abhi tak nahi padha hai to meri internet bandwith 20% badhane ki post yahan aur firefox ki speed badhane ki post yahan hai.
aaj main apko internet ki speed boost up karne ka tariqa bataunga jo really apke connection ko superfast kar dega, agar superfast nahi bhi hua to bhi kafi fark apko dekhne ko milega.to chaliye kuch steps ke sath shuru karte hain.
1) sabse pehle registry editor open kijiye.windows key+R ya start button par click karke run window open kijiye aur type kijiye regedit ab enter press kijye.
.
   2) ek baar registry editor open hone ke baad apko yahan par jana hai HKEY_CURRENT_USER\Software\microsoft\Windows\CurrentVersion\InternetSettings

3) Ab isi window me apne right hand par khali jagah par right click kijiye aur new DWORD value(blue colour) banaye.

4) Is key ka naam me MaxConnectionsPerServer type kijiye.

5) Ab MaxConnectionsPerServer par right click kijiye aur DWORD value edit karne ke liye Modify par click kijiye.

6) Ek base chun lijiye agar Hexadecimal hai to value 99 set kijiye aur agar apne Decimal choose kiya hai to value 153 set kijiye.

7) Ab khali jagah me right click karke ek aur DWORD key create kijiye aur iska naam MaxConnectionsPer1_0Server type kijiye.

8) Is key par bhi right click kijiye aur upar ki tarah value 99 ya 153 set kijiye.

 
lijiye, you have done!!!! bas internet explorer ko restart kijiye aur fark khud dekhiye.

enjoy & take care freinds

1 comments:

Shazan bhai aisa achcha convertor bataye jo .DAT aur .VOB format deta ho.

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More