zyadatar internet users daily bahut si files jaise mp3, videos, softwares download karte hain. aur wo sab browser ke default download manager se karte hain. magar ye download managers itne ache nahi hai mera matlab advance nahi hain wo hamein advacnce features nahi dete jaise pause and resuming downloading aur ek sath bahut sari files ki downloading etc.
kai baar aisa hota hai ke hum koi badi file download kar rahe hote hain aur internet connection ya fir kisi problem ki wajah se downloading ruk jati hai aur hamein fir se use download karna padta hai. suppose kijiye aap koi badi file download kar rahe ho aur wo 95% ya 98% tak complete ho chuki hai aur suddenly downloading ruk jati hai. to apko fir se file shuru se hi download karni padegi.
Download managers isi problem se hame bachate hain. unme aap downloading ko pause kar sakte hain aur jab chahe fir se resume kar sakte hain. yani agar apki file 98% tak complete ho chuki hai to apko dobara se use downloading karne ki zarurat nahi bas baki 2% ko resume karke file save kar sakte hain.
iske sath sath ye apki downloading speed ko bhi apki ummid se zyada badha dete hain. jitni der me aap ek file download karte the download manager ke wajah se multiple file download kar sakte hain.
aaj main apko 3 sabse badhiya(mere according) download manager ke baare me bata raha hun jinse aap apne download free me manage kar sakte hain.
Free download manager
free download manager apki downloading files ko manage karne ka bahut badhiya software hai ye aur downloading manager se bahut behtar hai. aur ye bilkul free hai, iske advance feature ko unlock karne ke liye apko ise kharidne ki zarurat nahi hai.
ye bilkul public interest me kaam karne ke banaya gaya hai.
aap iske help se puri website download kar sakte hain aur apni download files ko pause aur resume bhi kar sakte hain.
iske baare me zyada janne ke liye yahan click karein.
free download manager ko download karne ke liye yahan click karein.
Download Accelerator Plus (DAP)
ye bhi ek badhiya download manager hai. iski bhi bahut sari speciality hain jaise pause and resume download ye firefox aur internet explorer dono me kaam karta hai. ye kisi bhi site par jaate hi automatically downloading option find karke apke samne show kar deta hai.
iski speed apko 400% tak increase kar sakte hain. aur agar kisi website par downloading ke bahut sare mirror ho to ye khud hi unme se best link find kar leta hai. aur ye bhi apki downloading faster kar sakta hai.
Download Accelerator Plus ko download karne ke liye yahan click kijye
Internet Download Manager
iske baare me batane ki to mujhe kuch khaas zarurat nahi hai main pehle bhi apne ek post me iske baare me likh chuka hun, agar aap use padhna chahte hain to yahan padh sakte hain.
ye bhi dono download manager ki tarah hai jo pause aur resume downloading ke facility deta hai. waise sabse zyada maine bhi ise hi personally use kiya hai. iske speed bhi aap tray icon se badha sakte hain.
Internet download manager ko download karne ke liye yahan click karein
to ye the meri nazar me sabse badhiya download manager, agar aap inke alawa koi aur use karte hain to mujhse bhi share karein.
aur inko bhi try karein aur dekhein ki kya ye pehle se ache hain ya nahi...
take care freinds
0 comments:
Post a Comment