hii freinds
youtube video sharing ki sabse badi aur popular site hain jahan aap apni video bhi upload karke freinds se share kar sakte hain. isme apko har tarah ki video mil jati hain jaisi aap chahte hain like comedy,action,films,or any other video latest ho ya purani sab mil jaati hain jiski wajah se...
ye bahut hi jaldi sari video sites ko defeat karti hui sabse aage nikal gayi hai. is par aap apne channels(accounts) bhi bana sakte hai hain. jaise ki ye mera channel hai. pichli post main bhi maine youtube ka ek channel diya tha jahan aap full length movie dekh sakte hain par ab sawal ye aata hai agar koi video clip aap baar baar dekhna chahete ho to aapko dobara usi channel par jana padega aur fir video dekhni padegi. ya fir un logo k liye bhi youtube se video dekhna ek mushkil bhara aur time consuming hai jinke internet connection slow hain. to kyun na ek hi baar video ko hard disk me download kar lein aur jab man chahe use dekh lein.
lekin dusri problem ye hain ki youtube se video download karein to kaise???
pareshan hone ki zarurat nahi hai kyunki youtube se video downlad karne ke bahut sare tarike hain jinme se sabse easy main aaj apke sath share karne wala hun.
kuch log alag alag softwares ka use karte hain aur kuch log javascript etc ka ham bhi aaj yahan ek chhote se software ki baat karne jaa rahein hain jiska naam hai internet download manager. bas aapko ise download karke install karna hai fir apne pc ko restrart karna hai. uske baad jab aap youtube ya koi bhi video site open karenge aur video play karenge to automatically ek downloading button show ho jayega bas apko us par click karna hai aur kuch hi der mein apke paas apki video hogi aur haan video flv format me download hogi ho sakta to ho sakta hai aap ke paas flv file format ko play karne wala player na ho. to bhi koi baat nahi use bhi aap yahan se download kar sakte hain ya latest vlc player download kar sakte hain jo zyadatar sabhi latest videos format ko support karta hai. waise aapko sare downloading k link post k akhir me bhi mil jayenge.
ek baat aur idm(internet download manager) sirf video hi nahi balki softwares,mp3 or any other file jo bhi aap download karna chahte hain usme apki help karega. iski downloading speed bhi aap tray icon se righ click karke badha sakte hain.
Internet download manager
flv player
vlc player
take care freinds
3 comments:
nternet download manager ki jagah koi free download nahi hai
Good...but youtubse videos ko direct bhi download kiya ja skta hai.click on link to know more...http://adf.ly/1NksOG
Very Nice sir ji
Post a Comment