Saturday, October 16, 2010

How to make your gmail faster

hii freinds kaisi chal rahi hai??
ummid karta hun badhiya hi chal rahi hogi to chaliye main aaj fir apke samne hazir hun kuch naya aur mazedar lekar, lekin ye specially un logo k liye hai jin ka connection thoda slow hai aur page open hone me kafi time lagta hai, jab bhi hum
net use karte hain to hum yahi chahte hain ke jo page hm open kar rahe hain uska bus address type kiya aur page jhat se open ho jaye, main sab page k bare me to nahi janta par gmail users k liye thodi rahat ki baat kar sakta hun, kyunki main yahi apko batane wala hun ki kis tarah gmail login page jaldi se khola jaye aur jaldi jaldi mails check kiye jayein.

-agar apka gmail login page open hone me bahut time leta hai to aap gmail ka standard version k bajaye HTML version use kar sakte hain directly is url se http://mail.google.com/mail/h/

-ab bhi agar koi baat nahi bani to aap gmail ka mobile version bhi use kar sakte hain is url se http://m.gmail.com . ye gmail ka bahut low version hai magar iski logging speed really bahut fast hai. ye page ekdum se hi khul jata hai, ye bilkul simple page hai aur tez bhi.  to ab ummid karta hun gmail k login me problems nahi aayengi.

take care freinds

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More