Sunday, July 31, 2011

Get google hindi input offlne installer for offline hindi typing

hindi typing ek bahut hi typical work hai lekin jab se internet par hindi typing ke software aaye hain tab se hindi typing karna bahut hi asaan aur mazedar ho gaya hai. jiski wajah se apko alag se hindi typing sikhne ki zarurat nahi bas agar apki english keyboard ki typing achi hai to bilkul usi tarah hindi me bhi type kar sakte hain. bina kisi additional knowledge skill ke.

main isi topic pe pehle bhi post de chuka hu ke online hindi typing kese karein jise aap yahan padh sakte hain. lekin ye zaruri nahi ke aap har waqt net ko activate rakhein aur online typing karein. isliye jo log net kam use karte hain unke liye hindi offline typing karne ka ye tariqa bahut faydemand hoga.

pronounciation aur spellings purity ke hisab se Google hindi input sabse badhiya software hai. ye automatically apke english words ko hindi me convert kar deta hai. lekin ise install karne ke liye apka net activate hona chahiye.

par apko pareshan hone ki zarurat nahi main apko yahan complete setup dunga jisse aap net na hote hue bhi ise  install kar payenge.

Google hindi input offline setup ko download karne ke liye yahan click karein

wese to aap log ise easily use kar payenge lekin agar hindi typing me koi problem aati hai to uske liye main next post me ise properly use karne ka tarika bataunga.

till then take care... chill...freinds

2 comments:

dekh ta ho bhaya me agar chalgya to mera liya bhot acha hi hai thanks

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More