Friday, July 29, 2011

How to increase hard disk speed (Tweak).


Agar aap apni hard disk ki speed ko increase/optimise karna chahte hain bina kisi software ke to niche diye gaye steps ko follow kijiye. inko karne ke baad aap apni hard disk ki speed ko increase kar payenge, wese ye tweak IDE drives me zyada successfull hui hai, lekin reports ye kehti hain ke SCSI me bhi ye kaam kar jati hai.

isse kisi bhi case me apke system ko nuksaan nahi hoga, isliye khud try kijiye aur bataiye ke kya diffrence apko laga.




STEPS

1- Start button se run command ko open kijiye aur wahan SYSEDIT.EXE  type kijiye. aise karne se apke samne ek window open hogi jisme kuch aur windows hongi.



2- Usme se system.ini file window ko expand kijiye.



3- Ab usme ek line find kijiye jisme [386enh] likha ho

.

4- Ye line mil jane ke baad uske niche ek blank line banane ke liye enter press kijye. aur us blank line me Irq14=4096 type kijiye





5- Ab file ko save kar dijiye aur system ko reboot kar dijiye, reboot karne ke baad aap improvement dekh payenge.


take care freinds enjoy..

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More