Thursday, January 20, 2011

Make pendrive a bootable windows XP installation device..

freinds aaj lagbhag sabhi log khud hi apne system me windows install kar lete hain. aur sabse zyada popular window xp hai jise install karna bhi kafi asaan hai. jabki isse pehle win 98 popular thi jise install karne ke liye dos command deni padti thi.

ab problem ye hai ki windows install karte karte kabhi beech me hi error show ho jati hai iski wajah ya to windows ke cd kharab hona hai ya phir cd drive kharab hona. ab aisi condition me agar aap apni pendrive se hi windows install kar lein to kaise rahe, waise bhi aajkal jo mini laptop market me hain unme cd drive nahi hoti aur agar aap kisi journey me ho aur beech safar me hi aapko windows install karne pad jaaye to aise me bootable pendrive kitni kaam aayegi aap khud sochiye.


pendrive ko bootable windows xp installation device banana bahut hi asaan hai. sabse pehle yahan click karke ek zip file download kijiye. download karne ke baad ise unzip kijiye.

1. Ab folder ko open kijiye usme do folder honge usme se USB_Prep8 folder open karke usb_prep8 file par click kijiye. is par click karte hi ek dos window open ho jayegi.

2. Aage badhne ke liye koi bhi key press karne ko kaha jayega isliye koi bhi key press kar dijiye.

3. Aap jaise hi kisi button ko press karenge PeToUSB naam ki ek window open hogi. Ab aapki pendrive computer me lagi honi chahiye.

4. Ab PeToUSB window me pendrive select kijiye aur format karne ke liye start par click kar dijiye.

5. pendrive complete format ka message aane par Ok kar dijiye. lekin dhyan rahe PeTOUSB window ko band na karein.

6. Ab window ke start button par click karke run window open kijiye. usme cmd type karke enter press kijiye. enter karte hi ek aur dos window open ho jayegi.

7. Ab aapko is dos window me command dete hue us file ke jo apne sabse pehle download ki thi ke Bootsect folder me jaana hai.
8. maine ise my documents me rakha tha aur ye commands dete hue is folder ko open kiya:-

  cd my documents
  cd flash drive prep
  cd Bootsect

9. ye sab type karne ke baad bootsect.exe /nt52 g: type kijiye. yahan g: aapke pendrive ka volume name hai agar aapke pendrive ka volume naame e,f ya h ho to aap iske jagah wo hi type kijiye.

10. bootsect.exe /nt52 g: type karne ke baad Bootcode update hone ka message show hoga. ab is dos window ko close kar dijiye. lekin sabse pehli wali dos window ko open rakhna hai. iske baad PeToUSB window ko bhi close kar dijiye lekin dhyan rahe sabse pehli wali dos window ko ab bhi band nahi karna hai.

11. jaise hi aap PeToUSB window ko band karenge apke samne pehle se khuli hui dos window ek list open hogi  jisme 8 options show ho jayenge.

12. sabse pehle is list ke options me se 0 select karne ke liye 0 type karke enter press kijiye. uske baad 1 type karke phir enter press kijiye, fauran ek window open hogi isme cd/dvd rom select karke ok par click kijiye.is waqt apke cd/dvd rom me windows ki installation cd honi chahiye.

13. Ab 2 select karne ke liye 2 type karke enter press kijiye aur iske baad ek virtual drive ka naam dene ke liye x type kijiye.

14. Ab 3 type karke enter press kijiye aur usb ka naam jaise f, g, h ya jo bhi aapke pendrive ka naam ho wo type kijiye.

15. Ab 4 type karke enter press kijiye aur aage milne wale commands ko follow karte jaiye.


lagbhag 15 se 20 minutes ka time lagega apki pendrive ko bootable device banne me. beech me kuch message bhi show honge jaise aage badhne ke liye koi key press karein etc. is processing ke poore hote hi aapka pendrive installation ke liye ready ho jayega. ise check karne ke liye computer ki bios setting me first boot device usb ko kar dijiye. ab computer ko restart kijiye. aapka computer pendrive se boot hoga.




take care freinds enjoy

18 comments:

its an old post vimal you can try other method

bhai ye post mujhe kaam ayi magar at last me back up create puch ra ise yes karun ya no karun

bhai ye post mujhe kaam ayi magar at last me back up create puch ra ise yes karun ya no karun

bhai my a post last time ko kiya tha lekin a formula pen drive me kaam nahi karra. aur kuch rahetoh mujhe send karona plz......................................

making pen drive bootable helps in very important thing that is formatting , this is a way by which on can re-install their PC a new operating system instead from the CD and other drives.
Toronto IT support consultants

Bhai mujhe winxp ki ek bootable cd se dusri bootable cd banani hai plz mujhe batao kaise banegi plz help me...

nero ki help se use copy kar sakte ho

o yaar isme to unzip file download karne pe page not found bata raha hai kya karu mujhe pen drive bootable karna jaruri hai bt ho nhi raha hai

awadheshs897@gmail.com

read this post
http://www.shazanzahid.com/2011/05/how-to-make-pendrive-windows-bootable.html

visit my blog ashish-jik.blogspot.com

o yaar isme to unzip file download karne pe page not found bata raha hai kya karu mujhe pen drive bootable karna jaruri hai bt ho nhi raha hai

vinay sengar mob. 9455889591

Best prices for Pen Drive. no look back.. MyDeals247.com

WOW... I love MyDeals247 model - they create competition among the sellers real-time.

Exellent, Jiyooo
Like, the way you write in Hindi.
Thanks

An error is occured in step 4 while formating the pen drive. Please tell me the solution what can I do for that?

Are yar ye file downlod nji ho rhi hai 8090348627 plz mis call

apke link per muje koi zip file ni mil rahi h. ,page not found aa raha h.
agr ho ske to zip file upload karke use hilighte kar do, thanks

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More