Wednesday, January 5, 2011

Increase your pc start up speed.

hello freinds, kafi dino se koi post dene ka time nahi mil raha tha aaj thoda free hun to aapse kuch share kar leta hun.

pc me sabse badi problem ye hai ki use on karo to bahut time leta hai. ab to latest processor wale pc market me available hain, jinki speed bahut fast hai, lekin pc lene ke baad kuch aisa feel hota hai jaise system ki speed slow ho rahi ho. aisa isliye hota hai kyunki hard disk me temporary files banti rehti hain jinhe hamein remove kar dena chahiye. lekin main apko bata raha hun ke aap system ko kaise speed se on kar sakte hain.

system ke start up speed isliye slow ho jati hai ki kuch programes system on hone ke saath hi active hone shuru ho jate hain. jo time lete hain, aap chahe to unme se kuch ko close kar ke ( jo zaruri nahi hain) start up speed increase kar sakte hain. kaise?? aaiye jaante hain.

sabse pehle apko Windows key+R se run window par jana hai. yahan apko MSCONFIG type karke enter press karna hai.

ab desktop par System Configuration Utility window open ho jayegi. usme aapko startup tab me click karna hai.

window kuch is tarah dekhegi.

ye un programs ki list hai jo system ke sath hi active ho jate hain. inme se jin programes ko aap startup par open nahi karna chahte unhe unchek kar dijiye. aur system ko restart kar dijiye.

lekin jin programes ke baare me aap nahi jaante unhe uncheck na karein jaise Antivirus warna problem bhi ho sakti hai.

take care freinds enjoyy..

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More