Sunday, July 17, 2011

How to remove vocal(singer voice) from mp3.


ab aap bhi khud kisi bhi song ka karaoke bana sakte hain. jiske liye apko koi payment karne ki zarurat nahi. aaj main apko aise software ke baare me bata raha hu jiski help se aap mp3 song se singer ki awaaz ko remove kar sakte hain aur fir apke paas reh jayega music track fir aap chahein to usi song ko apni awaz me bhi record kar sakte hain. lekin ye software sirf stereo track par hi work karega.
downloading link post ke last me hai.
apke help ke liye kuch screenshots ke sath step diye hain unhe follow kariye.



software ko open kijye aur apni mp3 file import kijiye.




import hone ke baad apka track kuch is tarah dikhega.



ab track ke left me sabse upar jakar click kijiye aur “split stereo track” select kijiye.



ab apke track me left aur right dono stereo alag alag ho jayenge. fir unme se niche wale track par click karke usko selection dijiye. jis track ko aap selection denge wo kuch dark ho jayega, kuch is tarah.



iske baad “Effect” tab par jakar “Invert”  ko select kijiye.




fir niche aur upar dono track me "Mono" kar dijiye.




Ab apni file ko export kar lijiye.




ap is video tutorial ki help se bhi kar sakte hain.



Audacity download karne ke liye yahan click kiijiye

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More