Wednesday, June 5, 2013

Increase PC Speed With Notepad.


Aaj bahut dino baad koi post likh raha hu. frnds time ki kami ke chalte blog ko thoda kam time de pa raha hu par koshish karta hu jab bhi time mile apke bich kuch zarur lekar aaun. jaise aaj laaya hun.

Notepad ki help se hum apne system ki RAM ko free karke speed ko increase kar sakte hain. aur isme koi doubt nahi ki RAM computer system ka ek bahut hi important part hai. ye computer me bilkul is tarah hai jis tarah car me CNG gas hoti hai. jitni zyada apke computer ki RAM free hogi, computer utna hi fast kaam karega. Isliye RAM cache ko clear karna system ki speed increase karne ka ek acha tarika hai. maine pehle bhi isi topic par ek post di thi jise aap yahan padh sakte hain.

Notepad tweak se pehle te steps follow karne honge:-

 1. My Computer par jakar Tools (agar aap XP use kar rahe hain) ya Organize (agar aap WIN 7 use kar rahe hain) par click kijiye.

2. "Folder Option"(XP) ya "Folder and Search"(Win 7) par click kijiye.

3. Ab View tab par jaiye aur "Hide extension for known file type" ko uncheck kijiye.

4. OK par click kijiye.

In settings ke baad ab notepad tweak ki baari aati hai:

1. Notepad open kijiye.

2. usme  mystring=(80000000)  type kijiye.

3. Is notepad file ko RAM.Vbe naam se save kar lijiye.

Ab jab bhi aap is file par double click karenge ye apki computer RAM ko clear kar dega jisse apka system lagbhag 80% fast ho jayega.

Take care friends

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More