jii haan dosto ab tak maine mp3 search engine k baare me koi bhi jankari nahi di thi kyunki aap bhi jaante hain ki mp3 search engine aur downloading ki internet par bharmar hai aur aap songs download bhi karte hi honge par haqiqat me zyadatar sabhi sites illegal hain aur music chori karke aap aur hum tak pahunchati hai isiliye main bhi
ab tak mp3 sites aur search engine k baare me likne se bachta raha par aaj mujhe khabar mili ki google music india me lauch ho chuka hai to maine iske baare me search kiya aur ye khabar bilkul sahi hai ab sabhi log legally tarike se song download kar sakte hain. aur piracy ko rokne me madad kar sakte hain waise ye sab itna asaan nahi par chaliye google ne kafi had tak koshish to ki. google music par jane k liye yahan click karein. aur apne comment zarur bheje.
take care freinds
0 comments:
Post a Comment