Thursday, October 28, 2010

50 GB free online space (its amazing)

waise to bahut sari websites hain jo online storage ki facility free me deti hain jisme kuch kafi popular hain like 4shared ya enips aur bhi kafi naam hain but ye sabhi maximum to 5GB to 10GB tak hi storage ki facility deti hain.dekha jaye to 10GB storage bhi kuch kam nahi hoti magar hamesha zyada ka irada rakhna chahiye kyun??
to main aaj apko aisi website k bare me batane jaa raha hun jo 50GB online storage ki facility bilkul free deti hai. yun samajh lijiye
free me aapko ek online hard disk mil rahi hai, waise bhi isse hame kai fayde hain jaise kuch data ke khone ka dar hame hamesha bana rehta hai jo bahut important ho hm usko cd me rite karke bhi save karte hain but ye bhi tariqa kuch zyada safe nahi hai lekin online storage se hum apna data bilkul safe rakh sakte hain sabki pahuch se dur aur na hi khone ka dar.
bas ab zyada baat karne k bajaye apko le chalta hun us site par, to aaiye aur login karke khud try kijiye. ummid karta hun kuch fayda zarur hoga. kyunki net surfer ko kabhi na kabhi iski zarurat zarur padti hai.

website par jane k liye yahan click kijiye.

take care freinds

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More