hii freinds
maine fir se ek aisi koshish ki hai jo sakar hui aur aap sabke bhi fayde ki hai.
hum sabhi yahi chahte hain ki internet surfing tez ho jaye bhale hi koi dial up connection use karta ho ya fir braodband, aaj main apki kuch help kar sakta hun. hum bina kisi software k apne connection ki speed badha sakte hain bas thodi si tweaking karke. bas apko niche diye gaye steps follow karne hain...
1. apko start button par jaka run par click karna hai.
2. jab run window open ho jaye to type kijiye "gpedit.msc"(quotes k bina type karein) aur enter key press kijiye.
3. Ab group policy window open ho jayegi apko left hand side par se "Administrative templates" par click karna hai.
4. wahan right side me 4 option me se apko "network" par double click karna hai.
5. Phir "QoS packet scheduler" par double click kijiye.
6. wahan apko "limit reservable bandwidth" par double click karna hai.
7. wahan limit 20% show ho rahi hogi usko 0% ya 1% kar dijiye, agar kuch show nahi kar raha hai to enable karke 0% ya 1% kar dijiye.
bas ho gaya ab farq khud dekhiye.
main agli post main firefox ki speed badhane ka tarika bataunga tab tak take care freinds
enjoyy
1 comments:
THANKS For sharing tips....it helps to increase my internet speed,Before that my speed is slow,now it's good i checked my internet speed at here Scanmyspeed.com/
Post a Comment