Tuesday, November 16, 2010

Happy Eid-ul-azha to all

Assalam alaikum freinds, very first happy Eid-ul-azha to all. Eid-ul-azha jise kuch log Eid-ul-adha ya Eid-ul-zuha bhi kehte hain. khair jis naam se bhi bulaye. main to bas yahi dua karta hun ki sabki eid bakhariyat celebrate ho jaye. iske liye hame zarurat hai eid se pehle allah ke samne dua mangne ki. mere kuch freinds aise bhi hain jo eid ul azha ke baare me kuch zyada nahi jante to main yahan is festival ke baare me batana chahta hun. Main apko zyada detail me to nahi le jaunga bas ek quick tour karunga.

After all mere kehne ka matlab hai ki har festival celebrate karne ke peeche koi na koi reason hota hai aise hi Eid-ul-azha ko celebrate karne ki peeche bhi ek reason hai.

The holy book Quran me Allah apne bando se kehte hain ke tum is din apni achi se achi cheez mere raste mein qurbaan karo. kyunki jis cheez se koi bhi shaks zyada pyar karta hai uski qurbaani shayad nahi de sakta. lekin yahan qurbaani deni ka matlab sirf koi halaal janwar hai . halaal janwar wo hain jinhe Allah ne The holy book Quraan me bataya hai..

soo freinds HAPPY EID-UL-AZHA again and enjoy the festival.

agar kisi reader ko personally mujhse koi sawaal puchna hai to mere email id hai  shazanzahid@gmail.com ya fir isi blog pe bhi aap question puch sakte hain

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More