Friday, November 12, 2010

Lets make twitter more intresting

 jab pehli baar maine twitter ke baare me suna aur isko dekha to maine socha isme aisa kya special hai jo ye baki ki social networking sites ko peeche chhodti hui sabse aage nikal gayi hai. maine apna account bhi banaya aur jab mujhe ye kuch khaas nahi laga to maine isko chalana band kar diya lekin phir iski kuch applications ko dekha to pata chala ke ya itni popular kyun hai.
twitter internet par ab koi naya naam nahi reh gaya lakhon users har din isse judte hain aur ab to hollywood aur bollywood ke lagbhag sabhi celebrities twitter par available hain jisse ye ekdum se internet ki duniya mein dhamaal macha raha hai isse hame ek dusre ke views janne ka mauka milta hai specially celebs ka aur ab to bade se bade sports person ho ya leader ya koi popstar ya business tycoon sabhi apko yahan mil hi jayenge. is ke through users unse connect reh sakte hain.lekin twitter me 140 words ki limit hai jo kabhi kabhi humein apna tweet karne ke liye kam pad jati hai. lekin kuch log tweet karte hain aur unka tweet 140 words se kahin zyada hota hai. ab sawaal ye aata hai aisa hota kaise hai jab twitter sirf 140 ki limit deta hai. to asli baat ye hai ki twitter par bhale hi ek tweet ki limit 140 words hai lekin kai aisi application hai, jo twitter ko aur bhi interesting banate hain.

to chaliye jaante hain unme se kuch badhiya si application k baare me.....
1) twitlonger
    ye aise application hai jiski help se lambe tweet kiye jaa sakte hain yani ab words ki koi limit nahi bas www.twitlonger.com par jaiye aur apne twitter username aur password se hi login kar lijiye. but aapke tweets apke twitter account par kuch words ke baad link show karega but aap kai jhanjhat se bach jate hain.

2) twitpic
   ye bahut popular third party application hai, jiski help aap apne twitter account par picture post kar sakte hain. aap mobile, website, ya e-mail ke through bhi kar sakte hain bas twitpic par account banane ki zarurat hai.

3) tweetdeck
   ye ek twitter client hai jiske through twitter par sabhi kaam kiya ja sakta hai aur saath hi facebook aur ek se zyada account bhi manage kiye ja sakte hain.

4) seismic
   ye bhi tweetdeck ki tarah ka twitter client hai. bus iska look and feel thoda diffrent hai. ye flash par base hone ki wajah se zyada interective hai.

5) twiterlist2rss
   kisi twitter account se rss feed banane ke liye is tool ka use kiya jata hai.rss ya fir blog ya site par ye tool use kiya ja sakta hai.

6) freind or follow
   ye tool batata hai ki aise kitne log hain jinhe aap twitter par follow kar rahe hain, aur kitne apko follow kar rahe hain. sath hi iske through aap twitter freinds ko unfollow bhi kar sakte hain.

7) twitter feed
   ye application blog or facebook ki feed ko twitter se join kar deti hai. it means agar aap apne blog par koi post denge ya phir facebook par status update karenge to wo automatically twitter par post ho jayega. hain na kamaal.

8) twitter karma
   ye application apne twitter followers aur freinds ko message bhejne ke liye hai. iske through ap unse connect reh sakte hai aur unse judi tamaam information jaan sakte hain.

9) wefollow
   ye twitter directory hai. iske through hum diffrent cities, subjects, aur dusri cheezon ko find kar sakte hain ek knowledge lene ke liye ye tool sabse badhiya hai.

10) twitbeep
   ye twitter ke liye google alert jaisi service hai. aap kuch keywords decide kar sakte hain, jinse jude tweets apko har ghante , daily ya apke set kiye gaye time par apko e-mail par milte rahenge.

11) grouptweet
   ye aisi website hai, jahan personal logo kojinhe apne choose kiya hai unki alag community bana sakte hain aur tweets share kar sakte hain. iska matlab jab aap community bana lenge to community me jo freinds apne choose kiye honge apke tweets unhi ke saath share honge. ye twitter conference call ki tarah hai. agar apke freinds pehle se hi koi community chala rahe hain to aap apne account bana kar isme shamil ho sakte hain ya phir koi naye community bana sakte hain.

12) tweetlater
   is application ki help se aap apne tweets ko schedule kar sakte hain, matlab aap tweet likh kar save kar dijiye aur time set kar dijiye bas ab jab apka set kiya hua time hoga to tweet khud hi post ho jayegi. iske alawa kuch aur automatic functions ki facility bhi ye application deti hai. jaise agar koi naya member apko follow kare to uske follow karte hi uske paas welcome message chale jaana.


ye to baat hui kuch popular aur badhiya applications ki lekin iske alawa aur bhi bahut sare dusre applications, plugins, aur diffrent websites hain jo twitter ke use ka maza duguna kar deti hain. jaise ek website hai www.celebtweets.in yahan aap sabhi celebrities ke tweets ek sath dekh sakte hain twitter par find karne ki zarurat nahi is site ke kuch applications bhi hai jo kafi phone companies in built de rahi hain. aur maze ki baat ye hai ki is site par diffrent diffrent languages jaise tamil, telugu, kannad, etc ke celebs to bhi catogries kiya gaya hai.





to in sab applications ko try kijiye aur bataiye kaise lagi ya aap mujhe twitter par bhi follow kar sakte hain. mera page hai www.twitter.com/shazan_zahid

take care freinds enjoy............

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More