Ab aap puchenge ki recycle bin ka naam kyun change karein? Aisa karne ki kya zarurat hai? Bilkul theek baat hai ki aisa karne se koi fayda ya koi nuksaan nahi hai but future me agar yahi sawal hum se koi puche aur hame na pata ho to bada ajeeb lagta hai, kyun, sahi kaha na? to mere khyal se knowledge lene me koi problem nahi hai bcoz kabhi na kabhi hamare hi kaam aati hai.
To chaliye shuru karte hain..
1) sabse pehle start button par jaiye, run par click kijiye aur type kijiye regedit. Aur enter press kijiye. E.g goto>startbutton>run>regedit>enter.
2) Ab aapke samne registry editor window open ho jayegi. Isme apko HKEY_CLASSES_ROOT pe double click karne hai..
3) Aisa karte hi bahut sare chhote chhote folder ki list khul jayegi usme aap CLSID folder find kijiye aur is par double click kijiye.
4) Fir se bahut sare folder ki list open ho jayegi inme aapko ek folder find karna hai jiska naam hai {645FF040-5081-101B-9F08-00AA002F954E} is par double click kijiye.
5) Ab apke samne fir se kuch folder honge jisme se apko shellFolder par click karna hai.
6) Ab right hand par kuch keys(red & blue) hongi jisme apko Attributes par jakar right click karna hai aur data modify karna hai,yani value 40 01 00 20 ko 50 01 00 20 me change karna hai, aur callForAttributes ki value bhi decimal aur Hexadecimal me 0 kar dijiye.
Lijiye bas ho gaya ab recycle bin ke icon par jakar right click kijiye aur ab apko wahan par rename option appear hoga, ab jo marzi chahe wo naam type kar dijiye. Hai na mazedaar!!
Take care friends.
0 comments:
Post a Comment