Sunday, November 28, 2010

Some beautiful screensavers for Windows





screen saver computer ki ek aisi application hai jise dekh kar koi bhi impress ho sakta hai(agar apka screensaver acha hai to)).

jo screen savers windows me default aa jate hain wo kuch khaas nahi hain aur dekhne me bhi kuch ache nahi lagte jiski wajah se users ko screensaver net se hi download karne padte hain. kuch users to screensavers lagana bilkul pasand nahi karte. but kuch logo ko idle screen par badhiya se screensaver move karte hue ache lagte hain. meri ye post un logo ke liye hi hai.

Lets make Matrix code

Aaj mere mann kuch mazedaar post dene ka tha to mujhe mil hi gaya ek topic jo main aapse share karne wala hun. are kabhi kabhi mind fresh karne ke liye kuch mazedaar bhi to hona chahiye. kyun??

to chaliye baat karte hain Matrix movie ke baare me, movie to aapne dekhi hi hogi. kya zabardast action tha. mujhe to is movie ke saare parts bahut pasand hain.

Friday, November 26, 2010

How to get @facebook.com email id

jab se facebook ne apne users ko apni personal email id dene ke baare me decleration kiya hai har koi jaldi se jaldi ise pana chahta hai lekin abhi ya processing beta stage par hai so sabhi ke liye ise open nhi kiya gaya hai aur sirf kuch selected logo ko hi email id di ja rahi hain.

magar sawal ye hai ki jin logon ko ye id di jaa rahi hain unhe ye kaise mil rahi hain. aur kya ye apko bhi mil sakti hai?? ji haan bilkul mil sakti hai(agar ap lucky hain to).

Thursday, November 25, 2010

Best download managers

zyadatar internet users daily bahut si files jaise mp3, videos, softwares download karte hain. aur wo sab browser ke default download manager se karte hain. magar ye download managers itne ache nahi hai mera matlab advance nahi hain wo hamein advacnce features nahi dete jaise pause and resuming downloading aur ek sath bahut sari files ki downloading etc.

Sunday, November 21, 2010

Run your favourite application without download and without installation. simply with browser..

hii freinds,
jab hum naya pc lete hain aur usme window install karne ke baad apne pasand ke software install karte hain to software ko find karne me badi pareshani hoti hai. kaash aisa hota jo bhi software humein chahiye hota fauran hum use run kar paate to kitna acha hota.....

lekin doston main apko bata dun ki aisa bilkul mumkin hai apko software chalane ke liye kisi sofware ko download karne aur use install karne ki zarurat nahi hai aap direct apne browser se sari application or softwares run kar sakte hain bina kisi jhanjhat ke...sirf ek browser plugin apko apne pc par install karna padega aur saare software honge apko hathon me har dam..

Saturday, November 20, 2010

Some cool testimonials for Orkut [part-2]

hello freinds,
maine apni pichli post main kuch badhiya se testimonials diye the jo freinds ko bhejne me bahut cool lagte hain. yahan bhi aaj kuch aur aise hi badhiya se testimonials hain. hope apko pasand aayenge...

Thursday, November 18, 2010

some cool testimonial for orkut [part-1]

Testimonials likhna orkut ka bahut hi badhiya feature hai. iske through freinds par acha impression create ho jata hai. main yahan kuch badhiya se testimonial de raha hun. pehle inse kaam chalaiye phir baad me aur bhi dunga....


1.

YOU ARE
_88888____888888___888888____88___8__
_88_888___88888888_88888888__8888_8___
____888___888__888_888__888___88_8____
____888___888__888_888__888_____8_____
____888___888__888_888__888____8__88__
____888___88888888_88888888___8__8888_
__8888888__888888___888888___8____88__

_______0000000000______0000000000______
_____000________000__000________000____
____000___________0000___________000___
___000_____________00_____________000__
___000____________________________000__
___000____________________________000__
____000__________________________000___
_____000________________________000____
______000_______ESPECIAL________000____
________000________4..________000_______
__________000______ME_______000_________
____________000__________000___________
_______________000____000______________
_________________000000________________
___________________00__

Send free sms without ads...

Sms aaj ke daur me bade se lekar baccho tak sabka manpasand communication resourse ban gaya hai. ab to log baat karne se bhi zyada sms bhejna pasand karte hain. aur bahut si aisi websites bhi hain jo sms bhejne ki facility deti hain. jaisi 160by2.com aur sms.in aur bhi bahut si sites hain jo sms bhejne ki facility deti hain but unme jo baat sabhi logo ko achi nahi lagti wo hai sms ke akhir me chota sa add. lekin main aaj apko bataunga ke aap kaise bina add ke sms bhej sakte hain.

Tuesday, November 16, 2010

Happy Eid-ul-azha to all

Assalam alaikum freinds, very first happy Eid-ul-azha to all. Eid-ul-azha jise kuch log Eid-ul-adha ya Eid-ul-zuha bhi kehte hain. khair jis naam se bhi bulaye. main to bas yahi dua karta hun ki sabki eid bakhariyat celebrate ho jaye. iske liye hame zarurat hai eid se pehle allah ke samne dua mangne ki. mere kuch freinds aise bhi hain jo eid ul azha ke baare me kuch zyada nahi jante to main yahan is festival ke baare me batana chahta hun. Main apko zyada detail me to nahi le jaunga bas ek quick tour karunga.

After all mere kehne ka matlab hai ki har festival celebrate karne ke peeche koi na koi reason hota hai aise hi Eid-ul-azha ko celebrate karne ki peeche bhi ek reason hai.

Sunday, November 14, 2010

Pamela anderson in Big boss season 4

hii freinds reality shows to aap dekhte hi honge, ajkal saas bahu wale serials se zyada reality show dekhna hi ab veiwer prefer karte hain aur specially Big boss ke to kya kehne. actually big boss ke hit hone ki ek bahut badi wajah ye hai ki isme celebs aate hain wo baat alag hai ki wohi celebs isme participate karte hain jo kaam se khali hote hain. ab kyunki har koi celebs ki personal life ke baare me jaanna chahta hai so show hit ho chala hai isme kuch personal hota hai ya phir pehle se likha gaya drama wo main nahi janta. but aap soch rahe honge ki aaj kya speciality hai big boss ki to chaliye main apko batata hun ki big boss main ek aur nayi mehmaan entry maarne wali hai aur wo hai hollowood ki controversy se ghiri rehne wali bewatch girl Pamela anderson. Pamela pehle bhi playboy magazine k liye nude photos shoot karne k liye controversy me reh chuki hain.aur ab big boss me pata nahi kya hone wala hai, chaliye indian veiwers ko aur masala dekhne ko milega isme. ek to pehle se hi big boss me kafi kuch ho chala hai aur ab aa rahi hai dhamaka machane ek aur...

Friday, November 12, 2010

Lets make twitter more intresting

 jab pehli baar maine twitter ke baare me suna aur isko dekha to maine socha isme aisa kya special hai jo ye baki ki social networking sites ko peeche chhodti hui sabse aage nikal gayi hai. maine apna account bhi banaya aur jab mujhe ye kuch khaas nahi laga to maine isko chalana band kar diya lekin phir iski kuch applications ko dekha to pata chala ke ya itni popular kyun hai.
twitter internet par ab koi naya naam nahi reh gaya lakhon users har din isse judte hain aur ab to hollywood aur bollywood ke lagbhag sabhi celebrities twitter par available hain jisse ye ekdum se internet ki duniya mein dhamaal macha raha hai isse hame ek dusre ke views janne ka mauka milta hai specially celebs ka aur ab to bade se bade sports person ho ya leader ya koi popstar ya business tycoon sabhi apko yahan mil hi jayenge. is ke through users unse connect reh sakte hain.lekin twitter me 140 words ki limit hai jo kabhi kabhi humein apna tweet karne ke liye kam pad jati hai. lekin kuch log tweet karte hain aur unka tweet 140 words se kahin zyada hota hai. ab sawaal ye aata hai aisa hota kaise hai jab twitter sirf 140 ki limit deta hai. to asli baat ye hai ki twitter par bhale hi ek tweet ki limit 140 words hai lekin kai aisi application hai, jo twitter ko aur bhi interesting banate hain.

Monday, November 8, 2010

Give your own background to pendrive/flash drive

pen drive ek aisa hardware jo ajkal sabhi pc users ke paas hota hai aur ye users ke liye zaruri bhi ho gayi hai, data transfer karne ki ye sabse badhiya technology hai.aapko har kisi pc users ke paas pen drive mil hi jayegi balki ab to jin logo ke paas pc nahi hai wo bhi iska use karne lage hain kyunki market me aisi bahut se gadgets available hai jisme pendrive lagakar aap uska use kar sakte hain jaise ki dvd companies apne sabhi dvds me pen drive slot de rahi hain jisme aap pendrive lagakar apni pasand ke mp3.video aur photos bhi dekh sakte hain.
ye to hui pen drive ki baat. jabki sabhi ke paas aaj pendrive hai lekin apke paas kuch special bhi  to hona chahiye dusro se alag jisse apke gadgets ki shobha aur bhi badh jaye aur aap jab bhi kisi ko apni pendrive de to wo dekh kar hairat me reh jaye aur aapse puchne par majbur ho jaye ki ye sab aapne kiya kaise??

Read online newspaper in hindi


freinds jaise jaise waqt guzarta jaa raha hai waise waise hi is duniya se greenary(ped paudhe) lagbhag khatm se hote jaa rahe hain rozana hazaro ped kat diye jaate hai kisi na kisi kaam k liye specially paper banane k liye kyunki daily crores of newspapers sirf india me hi publish hote hain to zara sochiye puri duniya mein kitne newspaper publish hote honge aur unke liye kitna paper lagta hoga??

Thursday, November 4, 2010

Hack server to speed up internet

hello freinds main fir se aa gaya hun ek intersting si trick lekar actually aisi baatein pata find karne me bada maza aata jo kam logo ko pata ho aur jab logo ko pata chal jata hai to dil ko bada sukun milta hai. khair chhodiye in sab bato ko direct kaam ki baat par aata hun.

Tuesday, November 2, 2010

How to rename recycle bin(100% working)

Hii friends abhi kuch dino pehle meri ek dost se bet ho gayi ki recycle bin ka name change kaise kiya jaye, wo keh raha tha aisa possible nahi hai jabki main janta tha ki aisa zarur ho sakta hai because nothing is impossible in  this world.  Aur bas maine usse ek din ka time liya aur lag gaya aisa karne ki koshish me aur aap to jante hain ki koshish karne wale ki kabhi haar nahi hoti. Aur isme mere ek friend ne meri help ki aur finally mujhe kafi saare method mile jisse hum recycle bin ka naam change kar sakte hain, lekin ek tariqa jo sabse asaan hai aur kam bhi karta hai main aapse aaj share karne wala hun.
Ab aap puchenge ki recycle bin ka naam kyun change karein? Aisa karne ki kya zarurat hai?

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More