Tuesday, August 23, 2011

Repair PC errors in smarter way.


Kai baar jab kisi wajah se system files ya registry entries corrupt ho jati hain aur unki wajah se bahut sari errors system me apni jagah bana leti hain, ye sab users ke liye ek tension hai.

lekin yahan apke liye ek secret method hai un sab fies ko restore karne ka. is program ka naam hai WEBFOLDERS XP REPAIRING SYSTEM. ye amazing program XP me hi hota hai lekin bahut kam users iske baare me jante hain. aap ise run command se hi run kar sakte hain.

1.sabse pehle start button se RUN COMMAND open kijiye fir wahan type kijiye "webfldrs.msi" (without quote) aur OK kar dijiye.



2. Apke samne webfolders xp repairing program open ho jayega. usme Select reinstall mode par click kijiye.


3. Ab ek naya dialog window open hogi usme sabhi options me check mark laga dijiye aur OK kar dijiye.



Aisa karne se fir se apke samne purani window aa jayegi usme Reinstall par click kijiye
ab apki files repair honi shuru ho jayengi. Is process me thoda time bhi lag sakta hai (its depend on your processor). Process puri hone ke baad dekhiye ke kis tarah apke system ki sari problems fix ho gayi hain bina kisi software aur xp ki bootable CD ke bina.
.
Take care freinds

6 comments:

sir select reinstall mod ke bad sab pe right kiya but phir se reinstall mod aur kuch nahi kiya karun

@Shamim hashmat: Bro ab problem thik ho chuki hai, galti se post puri nhi hui thi. dhyan dilane ke liye thaxx

aab dobara se post padhiya apke sawal ka jawab mil jayega

SIR, KYA YEH POST WINDOW7 ME BHI USE KAR SAKTE HAI...????????????

sir, woh jo ap ne window se recycle bin icon invisible karne ki trick di thi woh window 7 me use karne par nahi ho pa rahi hai. kya yeh xp me hi hogi?????????????

han ajnabi dost :) ye trick xp me hi work karegi..

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More