Agar aap ye dekhna chahte hain ke apki absence me kisne kya data apke pc se delete kiya hai to ye post apke liye hai. is trick se aap desktop se Recycle bin ke icon ko remove kar sakte hain aur agar delete hone ke baad data recycle bin me gaya hai to aap use restore bhi kar sakte hain.
niche pictures ke sath kuch step diye gaye hain follow kijiye.
1. Sabse pehle Start button se Run command open kijiye aur wahan gpedit.msc type karke Ok kijiye.
2. Nayi window me User Configuration ko expand kijiye.
3. Ab Administrative Template ko expand kijiye.
4. Ab Desktop par click kijiye.
5. Right side me "Remove Recycle Bin icon from desktop" option ko find kijiye aur us par double click kijiye.
6. Nayi window me "Enabled" option ko select kijiye aur Apply kar dijiye.
Aur jab apko Icon wapas lana ho to fir se 5 step same follow kjiye aur 6th step me Not Configured ko select karke Apply kijiye.
Take care freinds
0 comments:
Post a Comment