Thursday, August 11, 2011

How to Disable USB without any software.


system me USB drive ko disable karne ke bahut sare software hain. lekin aap ya kaam manually bhi kar sakte hain bina kisi software ke. jisse apke piche apke system me koi bhi USB na laga paye, isse aur bhi kai fayde hain jaise virus se bachna aur dusra ye ke agar aap nahi chahenge to koi apka data copy karke nahi le ja sakega.

niche kuch screenshots ke sath bataya gaya hai ke kis tarah aap USB ko disable kar sakte hain.

1. sabse pehle start button par jakar run window open kijiye aur regedit type karke OK kijiiye.


2. Ab registry editor open hone ke baad usme HKEY_LOCAL_MACHINE ko expand kijiye.


3. SYSTEM ko expand kijiye.


4. CurrentControlSet ko expand kijiye.


5. Services ko expand kijiye.


6. USBSTOR par click kijiye.



7. aisa karne ke baad apko right side me kuch registry values(red and blue) dikhai dengi. usme Start par right click karke value 3 ko 4 kar dijiye.


(kisi bhi image ko bade size me dekhne ke liye us par click kijiye)

ab apki USB disable ho chuki hai aap koi bhi removable media system me lagakar check kar sakte hain.

USB ko wapas enable karne ke liye fir se value ko change karke 3 kar dijiye.

take care freinds.

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More