Sunday, August 7, 2011

Control any other computer in the world.


Ho sakta hai apme se kuch log pehle se hi Teamviewer ke baare me jante ho. kyunki bahut se log iska use karte hain jiski wajah se ispe likhne ke liye kuch bacha nahi aur maine bhi is par koi post nhi di lekin abhi kuch din pehle ek freind ne iske baare me batane ko kaha to maine socha iske bare me thoda bahut to likha ja sakta hai.

Teamviewer ek aisa desktop sharing programme hai jiski help se aap duniya me kisi bhi computer ko controll kar sakte hain bilkul aise jaise aap apna computer operate karte hain aur sath hi audio video chat bhi kar sakte hain. lekin ye hoga tabhi jab software dono taraf install ho.

bas ise download karne ke baad jab aap ise open karenge to wo apko id aur password dikhayega. iska password har bar khud hi change hota rahega jisse ye bilkul safe hai, ab jab bhi apko kisi computer se apna computer connect karna ho to second party se uska id aur password puch lijiye aur connect kar dijiye. fir apke samne apke partner ka desktop dikhne lagega aur aap apne mouse se hi use control kar sakte hain.



ek baar use kijiye maine bhi kai baar apne freinds ki problem aise hi solve ki hain.

Teamviewer ki website par jane ki liye yahan click karein. ya fir yahan se download kar lijiye.

Teamviewer download karne ke liye yahan click karein(direct link)

take care freinds

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More