computer ki maintenance bahut zaruri hai. kyunki daily use hone par usme bahut si junk files aur errors ho jati hain jo system ko slow karti hai. aur ye sab thik karne ke liye aap bahut se software use bhi karte honge ya kuch log ye sab manually bhi kar lete hain. lekin main aapko aise software ke baare me bata raha hu jo apke computer ko achi tarah se repair kar dega aur sari errors ko fix kar dega.
is software ke baare me pehle bhi post de chuka hu jise aap yahan padh sakte hain. wo is software ka old version hai, lekin abhi kuch din pehle maine iska new version download kiya to dekha ye to pehle se bahut behtar ho gaya. is software ka naam hai Advanced System Care
ab to ye computer ke liye essential ho gaya hai. lagbhag 30MB ke is software me bahut se tool hain jo apke computer ko ekdum fresh rakhne ke liye kaafi hain.
0 comments:
Post a Comment