Saturday, June 23, 2012

A must Uninstaller for your PC


Waise to windows me in built hi Add or remove programe application hoti hai jiski help se hum koi bhi software uninstall karte hain. lekin kya aap jante hain ke koi bhi software uninstall karne ke baad bhi uska kuch hissa PC me hi reh jata hai jise na to hum find kar paate hain aur na hi remove. jisse wo file bekar me hi system me reh jati hain.

kuch problems hamein tab bhi dekhne ko milti hain jab hum koi freeware product system me install karte hain. aise freewares ke sath kuch extra tools jaise toolbars automatically install ho jate hain jo kai baar remove karne par bhi remove nahi ho pate.

Aapki ye sabhi problems Revo Uninstaller door kar sakta hai. ye kisi bhi software ko completely system se remove karne me ekdum mahir hai. aur aap jis software ko remove karenge ye uski registry value bhi find kar dega jise aap easily delete kar sakte hain.

Revo uninstaller yahan se download karein

Take care freinds

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More