Screenshots lene ke liye bahut se softwares aur applications aur online services hain jinme se ek ka zikr maine apni pichli post mein bhi kiya tha. lekin screenshot lene ka sabse asaan tarika main aaj aap sab ke sath share kar raha hu.
bas aapko itna karna hai ke jis screen ko apko capture karna hai use display par lakar keyboard se Print Screen button ko hit kijiye. aisa karne se display par jo bhi image hogi wo clipboard me copy ho jayegi. ab aap simply Paint program (start>All Programs>Accessories>Paint) open kijiye aur Ctrl+V hit kijiye. ab file ko JPEG format me save kar lijiye.
lijiye ho gaya ab aap chahein to ise photoshop se crop ya editing kar sakte hain.
Take care freinds
1 comments:
system me se virus ko kaise remove kiya jata hai
Post a Comment