Thursday, June 14, 2012

Get back your blogspot.com domain



Aaj kal blogger me aap log dekh rahe honge ke jinka blog india me hai unka domain blogspot.com ki jagah par blogspot.in dikha raha hai. agar koi blogspot.com url type karta bhi hai to blogger usko blogspot.in par hi redirect kar deta hai. ye koi problem nahi hai bas blogger ne Country-Specific Domains service start kar di hai. jisme abhi tak jo list main dekh paya usme total 15 countries hain jinpar ye apply ho chuka hai. jaisa india me .in hai aur pakistan mein .pk. main niche list de raha hun jinme blogspot ka url country-specific redirection ke base par dikhayega.

India [blogspot.in]
Australia [blogspot.com.au]
UK [blogspot.co.uk]
Japan [blogspot.jp]
New Zealand [blogspot.co.nz]
Canada [blogspot.ca]
Germany [blogspot.de]
Italy [blogspot.it]
France [blogspot.fr]
Sweden [blogspot.se]
Spain [blogspot.com.es]
Portugal [blogspot.pt]
Brazil [blogspot.com.br]
Argentina [blogspot.com.ar]
Mexico [blogspot.mx]

lekin problem ye hai kuch bloggers ko ye pasand nahi.to agar wo chahein to country-specific domain ko rok sakte hain jisse unka blog fir se blogspot.com par ridirect karega. iske liye aapko niche diya gaya code template me add karna hoga. lekin template me kuch bhi change karne se pehle aap apne blog ke template ka backup zarur le lein. jisse aage kuch problem aane par aap wapas use restore kar sakein.

Sabse pehle apne Blogger dashboard me jakar Template ko choose kijiye.Fir Edit HTML par click karne ke baad Proceed par click kijiye.

Ab template me <head> tag ko find kijiye. aap iske liye Ctrl+F ka use bhi kar sakte hain. aur thik <head> ke niche ye code paste kar dijiye.

<script type="text/javascript">
var blog = document.location.hostname;
var slug = document.location.pathname;
var ctld = blog.substr(blog.lastIndexOf("."));
if (ctld != ".com") {
var ncr = "http://" + blog.substr(0, blog.indexOf("."));
ncr += ".blogspot.com/ncr" + slug;
window.location.replace(ncr);
}
</script>

Ab aapke blog ka url .blogspot.com par hi redirect karega.

take care freinds

4 comments:

aapki blog toh bahut hi profesional lag rahi hai ab toh

sir meri pass cradet card nahi hain kya is ki baghyr website bansakta hai

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More