Mujhse bahut logo ne ye kaha ki facebook ki updated profile, jise facebook ne Timeline ka naam diya hai, hamein pasand nahi hai aur hum isko remove karna chahte hain. lekin main apko bata du ke agar aap ek baar Timeline ko enable kar lete hain to fir ise remove nahi kar sakte chahe aap jo bhi tarika aazma lijiye.
lekin jo log Google chrome use karte hain wo Timeline ko kam se kam apne liye to remove kar hi sakte hain. Aapko ek chhota sa extension Chrome me add karna hoga. aur fir jab bhi aap apne Facebook profile me login karenge to aap apni purani profile dekh payenge.
lekin dhyan rahe ye sirf aapko hi dikhayi degi aapke baaki sabhi profile visitors ko Timeline hi dikhai degi. yahan tak ki agar aap apne system me bhi Chrome ke bajaye kisi dusre browser se apni profile visit karenge to bhi aapko Timeline hi dikhayi degi.
1 comments:
Thank's
Post a Comment