Tuesday, November 15, 2011

How to increase internet speed (tweak)



windows operating system me internet ki speed/bandwith kuch chizo ki liye reserve hoti hai jiska istamal windows updation ke liye kiya jata hai lekin wo hum shayad hi karte hain. agar aap chahein is speed ko windows registry me change karke browsing ke liye use kar sakte hain.

sabse pehle Run command open kijiye. usme regedit type karein aur ENTER press karein.

Registry editor open hone ke baad yahan jayein

HKEY_LOCAL_MACHINE\SOFTWARE\Microsoft\Windows\CurrentVersion\Explorer\RemoteComputer\NameSpace

jab aap NameSpace folder ke samne + par click karenge to uske niche 2 folder dikhenge
"{2227A280-3AEA-1069-A2DE-08002B30309D}" aur "{D6277990-4C6A-11CF-8D87-00AA0060F5BF}"

aap in dono folders ko delete kar dijiye aur system ko restart kijiye.

Internet speed increase karne ke liye kuch post pehle bhi de chuka hu jinhe aap yahan aur yahan padh sakte hain.

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More