Thursday, June 23, 2011

Turn Off your pc, hundred times faster.

Bahut se net users windows ke automatic update open rakhte hain jisse net chalate waqt khud hi windows updation hota rehta hai, fir jab aap computer ko turn off karte hain to wo install hone me thoda time lete hain lagbhag 4 se 5 minute, aise me koi problem bhi nahi hai,

lekin jaisa ke aap dekhte hi hain hamare yahan light bahut zyada cut hoti hai, aur lagbhag sabhi users apne pc ko bachane ke liye UPS ka use karte hain. but jab kabhi UPS thik se kaam na kar raha ho aur apki power cut ho jaye to aap jaldi se pc ko turn off karte hain lekin automatic update install hone ki wajah se wo shutdown hone me time leta hai aur hum aise me kuch nahi kar sakte.

aaj me apko batata hu ke aap kese apna pc 5 seconds se bhi kam me turn off kar sakte hain. 

sabse pehle apko Ctrl key + Alt key + Del key press karke Windows Task Manager open karna hoga.

Jab Task Manager open ho jaye to Ctrl key press karke hold kijiye aur Shut down par jakar Turn Off  par click kijiye, bas jab tak system turn off na ho Ctrl key ko hold karke rakhiye.


help ke liye niche image dekh sakte hain..



2 comments:

bro is tarah pc off karne se koi masla to nahi hota na?

nahi ye command to windows ke andar hi hai to koi masla nhi hota

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More