Tuesday, June 7, 2011

Enable task manager when disable by virus

antivirus install hone ke baad bhi hum sabko kabhi na kabhi virus ko face karna padta hai. kyunki har din aise naye virus aate hain jinhe hamara antivirus detect nahi kar pata, aur kabhi kabhi virus ko puri tarah se system se remove karne ke baad bhi hame kuch aur problems dekhne ko milti hain, jaise windows task manager CTRL+ALT+DEL se open nahi hota. aur jab aap ise open kartew hain to ek error message apke saamne aata hai “Task Manager has been disabled by your administrator”.



aaj main apko ye bataunga ke aisi condition me task manager ko wapas kaise enable kiya jaye. uske liye apko kuch steps follow karne honge.


1- sabse pehle run window open kijiye aur type kijiye gpedit.msc aur OK press kijiye.



2- ab apko  User Configuration> Administrative Templates> System>Ctrl+Alt+Del Options par jana hai. fir apke samne kuch aisa hoga.




3- remove task manager par double click kijiye.

4- Not Configured par click kijiye aur OK kar dijiye. ab apka task manager fir se enable ho gaya hai.




agar aapse ye settings nahi ho paa rahi hain ya aap ye sab nahi karna chahte hain to uske liye ek software hai jo apke liye automatically wo settings kar dega, is sotware ka naam hai Remove Restrictions Tool(RRT). isse sirf task manager hi enable nahi hoga, balki jo bhi programes virus ki wajah se disable ho gaye the un sabko ye re-enable kar dega.



software download karne ke liye yahan click karein.

take care freinds enjoyy.

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More