Abhi kuch din pehle mere kuch freinds ne mujhse windows xp install/format karne ke tarike ke baare me pucha to maine socha is par ek post hi likh deta hu jo baad tak aise logon ke liye helpful hogi aur koi bhi easily ise seekh sakega.
windows ko install ya format karne ke liye aapke paas win xp ki bootable cd aur motherboard ke drivers hone chahiye. to chaliye fir shuru karte hain win xp install karna.
1. sabse pehle apne CD/DVD rom me xp ki
bootable CD insert kijiye aur apne computer ko restart kijiye. fir
F10 ya
Del key press kijiye to apke samne
BIOS setup open ho jayega. uske baad menu me
first boot device ko find kijiye aur usme CD rom device ko select kijiye aur save kar dijiye. jisse system restart hote hi CD rom xp ki CD ko read kar le.
2. Restart hone ke baad system CD ko boot karne ke liye koi key press karne ko kahega to koi bhi key press kar dijye jisse setup shuru ho jaye. aur key press karne ke baad apke samne ek blue colour ki screen dikhai degi. jisme setup ki processing chalti rahegi. yahan agar apse aage badhne ke liye koi key press karne ko kahe to use press kar de warna abhi kuch karne ki zarurat nahi.
3. kuch der ke baad apke samne
welcome to setup screen aayegi. usme 3 options honge. pehla option windows install karne ke liye, dusra option windows ko repair karne ke liye, aur teesra set up ko band karne ke liye. ab yahan par pehle option choose karne ke liye
ENTER press karein.
4. ab aapke samne
windows xp licensing agreement ki screen aayegi jise agree karne ke liye
F8 press karein.
5. yahan apko hard disk ke partition dikhai denge ab jis bhi partition me aap windows install karna chahte hain use select karein aur
ENTER press karein. windows mostly partition
C:\ me hi install karte hain. uske baad format karne ke liye apke samne 4 options honge unme se
"Format the partition using the NTFS file system" ko select kijiye.
6.
ENTER press karne par wo partition format ho jayega aur new files hard disk me copy hona shuru ho jayengi.
7. kuch der baad computer
restart ho jayega aur fir se boot karne ke liye koi key press karne ke liye kahega, lekin yahan apko koi key press nahi karni hai. iske baad
computer graphical interface start ho jayega.
8. kuch der me apke samne language ka option aayega usme
next karke aage badhein. iske baad
personalize your software window apke samne hogi jisme aap
Name me apna naam aur
organisation me kuch bhi type kar sakte hain jaise apni company ya firm ka naam ya chahein to use blank rehne dijiye.
9. ye sab karne ke baad
next par click karein uske baad aapse windows ki product key puchi jayegi jo
25 character ki hogi yahan wo product key(key apko CD ke sath mili hogi) type kijiye aur
Next karke aage badhiye.
10. Next karne par apke samne
Computer Name and Administrator Password screen ayegi jisme aap apne computer ka naam type karenge aur password ko blank rehne denge. fir
next par click karenge. ye karne ke baad apke samne
Date and Time Setting screein ayegi usme
Date, Time aur Time Zone ko apne hisab se set kar lijiye aur
next par click kijiye.
11. Kuch der baad screen par
Networking Settings aayengi jisme
Typical settings ko select karke
Next par click karein. Iske baad
Workgroup or Computer Domain screen ayegi jisme bina kuch change kiye
Next par click kar dijiye.
12. kuch der me windows system me install ho jayegi aur computer restart ho jayega. aur display setting box ayega jise aap
OK kar dijiye.
13. fir apke samne
Help protect your PC screen ayegi jisme
2 options honge usme se
"Help protect my PC by turning on Automatic Updates now" ko select karke
Next par click kijiye.
14. uske baad
"Will this computer connect to the Internet directly, or throug a network?" screen ayegi is step me niche
Skip par click karein.
15. Ab
"Ready to activate Windows?" ki screen ayegi jisme
"No, remind me every few days" ko select karke
Next click karein.
16. Next karne ke baad
"Who will use this computer?" ki screen aayegi jisme aap
5 username type kar sakte hain lekin acha hai aap sirf
ek hi username daalein aur
Next par click karein.
17. Click karne par
"Thank you" screen ayegi yahan aap
Finish par click karein. iske baad apke saamne Windows desktop aa jayega jisme
Recycle bin ka icon hoga. bas ho gayi apki windows install.
18. Iske baad
sound aur graphics install karne ke liye computer drivers ki CD lagaiye aur drivers install kar lijiye..
Ummid karta hu is sabke baad apko Windows xp install karne me koi problem nahi aayegi. lekin agar fir bhi problem hai to aap mujhe mail kar sakte hain.
Take care freinds keep in touch