USB ko lock karne ka ek tarika main pehle bhi bata chuka hu jo aap manually bina kisi software ke kar sakte hain aap wo post yahan padh sakte hain. lekin us tarike main apko registry editor me changes karne hote hain. aur jo log IT ki thodi bahut hi knowledge rakhte hain unke liye registry editor me jakar editing karna safe nahi hai.
jaisa ke aap jante hain USB port mein hum external media lagate hain jinki wajah se kabhi kabhi system mein virus aa jata hai. isliye jab aap ke piche aapka system koi aur use kar raha ho to aap USB port ko lock kar sakte hain. jisse virus system mein na aa paye.
Agar aap USB port ko lock karna chahte hain to is chote se software ki help se kar sakte hain.aur ye portable bhi hai to aap bina install kiye ise kisi bhi system mein use kar sakte hain.
software ko yahan se download karein
0 comments:
Post a Comment