Tuesday, May 15, 2012

How to get rid of "write protected" error message.


Aisa bahut baar hota hai jab hum koi external media jaise memory card ya fir pendrive system me lagate hain to usme se na hi kuch copy hota hai aur na hi usme koi file copy kar pate hain aur aapke samne write protection ka error message aa jata hai. aisi condition me aap external media drive ko format bhi karna chahenge to wo nahi hogi.

iska bahut hi asaan sa solution hai bas aap mere sath rahiye aur dekhiye kaise ye problem hamesha ke liye door hoti hai.

sabse pehle niche diya hua sara code notepad me copy kijiye aur use .bat extension me save karke ek batch file banaiye. maine ise merge.bat naam se save kiya hai.





ab is batch file par double click kijiye jisse ye file registry me merge ho jaye.

Jo log batch file nahi bana paa rahe hain wo yahan se file download kar sakte hain.

Iske baad start button par jaiye. Run par click kijiye, wahan regedit type kijiye aur enter press kijiye.

Ab yahan jaiye

HKEY_LOCAL_MACHINE > SYSTEM > CurrentControlSet > Control > StorageDevicePolicies





Jab aap StorageDevicePolicies par click karenge to right side me WriteProtect(blue) value aayegi, is par double click kijiye, iski value ko 0 kar dijiye aur OK par click kijiye.



Ab apne system ko restart kar dijiye. aisa karne se koi error mesage aapko pareshan nahi karega.

take care friends stay tuned.

3 comments:

Shazan bhai, jaisa apne code diya hai use maine notepad me paste karke batch file save ki aur double click kiya, lekin mere registry editor me StorageDevicePolicies nahin aa raha hai.

Please Help me.

@DILAWAR: Apki problem ka solution kar diya hai aapko post me file ka link mil jayega aap readymade batch file download kar lijiye

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More