Wednesday, May 23, 2012

How to find unknown drivers for your pc.



Abhi 2 din pehle mujhe mere ek freind ki call aayi jinke laptop me maine ek mahina pehle windows format ki thi aur kaha tha ke drivers aap apni motherboard ki CD se install kar lijiye. lekin unko CD nahi mili aur wo driver install nahi kar paye. fir maine unhe ek tool suggest kiya jiski help se unhone sare drivers update kar liye.

Jab kabhi windows install karne ke baad hamein motherboard ke liye supported drivers nahi mil paate to aise mein ya to hamein kisi se drivers kharidne padte hain ya fir hum apna system utha kar computer assembling aur software installing karne walo ke paas hi le jate hain. lekin baar baar agar hamein aisa karna pade to ye ek bada headache hai.

is sabse bachne ke liye ek tool hai jo aapki problem door kar dega. aap ise download kar lijiye, aur jab bhi apko apne motherboard ke liye kisi driver ki zarurat padegi to is software ko start kijiye aur ye automatically net se apke motherboard ke liye suitable drivers search kar dega.

ummid karta hu isse kafi logo ki problems solve hongi.

Is chote se tool ko yahan se download kjiye.

4 comments:

thanx shazan aapki web bohat achi hai or aap k ideas bohat ache hote hai thank you

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More