Aap soch rahe honge ki isme kya naya hai agar hamein kisi movie se koi particular scene ya song chahiye hota hai to use alag karne ke liye bahut se CD aur DVD cutter available hain jo thik thak kaam bhi kar lete hain, par agar aap bina kisi software ko install kiye bina koi song cut karna chahein ya aapke paas kisi tarah ka video cutter nahi hai to aap fir bhi aisa kar sakte hain. bas aapke system mein VLC player hona chahiye.
VLC player best open source software hai jo bahut jaldi popular ho gaya hai aur ye hai bhi kamaal ka. ek video player hone ke sath sath isme aise function hain jo abhi tak kisi player mein nahi dikhte. jaise ki hum aaj baat kar rahe hain kisi movie ya video se koi khas scene ya song cut karne ki.
To chaliye dekhte hain kis tarah se hum VLC player ko video cutter ki tarah use kar sakte hain.
sabse pehle VLC open karein aur usme View tab me jakar Advanced Controls par click karein. aisa karne se niche pallatte par kuch extra buttons aa jayenge.
fir uske baad koi bhi video play karein aur jo song ya scene apko chahiye uske shuru hote hi niche record(red) button par click karein isse wo song record hona start ho jayega aur jahan apko song rokna ho fir se record button par click kar dijiye.
Ab apka song record ho chuka hai aur wo apko My Documents ke My Videos folder me milega. aap jo bhi recording karenge wo file apko .mp4 format mein milegi. video ki quality source file ke jaisi hi hogi.
take care friends
0 comments:
Post a Comment