Aajkal bahut log apne pc par 3G dongle(USB device) se net use karte hain, aur aise bahut se dongle market mein available hain jinme aap kisi bhi company ka sim dalkar net use kar sakte hain.
Par aisa karne ke liye pehle to sim me internet data hona chahiye aur dusre us company ke APN(Access Point Name) ki jankari honi chahiye. kyunki jab tak aap dongle me APN ki settings nahi karenge net use nahi kar payenge.
Kuch log APN ki settings customer care se baat karke le lete hain par kuch logo ko iski jankari kahi se bhi nahi mil paati, isliye main apke liye sabhi company ke APN de raha hu jiski settings aap dongle ke connection settings mein karke net use kar payenge aur apko customer care par baat karke time waste karne ki zarurat bhi nahi padegi.
Agar aap mobile par net use karte hain to easily apne handset ki settings aap company se manga sakte hain par agar in APN ko simply mobile ki net settings me jakar likhenge to aap apne mobile par bhi net use kar payenge tab aapko alag se mobile ke liye settings mangane ki zarurat nahi hogi.
Service provider Dial number APN User name Password
3G BSNL *99# BSNLNET Blank Blank
AIRTEL *99# AIRTELGPRS.COM Blank Blank
AIRCEL *99# AIRCELGPRS Blank Blank
VODAPHONE *99# WWW Blank Blank
RELIANCE *99# SMARTNET Blank Blank
IDEA *99# INTERNET Blank Blank
TATA DOCOMO *99# TATA.DOCOMO.INTERNET Blank Blank
VIDEOCON GSM *99# VINTERNET.COM Blank Blank
UNINOR *99# UNINOR Blank Blank
MTNL Mumbai *99# MMSMTNLMUM MTNL MTNL123
MTNL Mumbai(P-2) *99# GPRSMTNLMUM MTNL MTNL123
take care freinds
3 comments:
thanx frnd.....
Thanks, ye trick mere liye bahut useful hai. Please koi achcha accounting software bataye. Tally main use karta hoon. Iske alawa koi wholesale/retail business ke liye useful software bataye.
u r greaaaaaattt
Post a Comment