Abhi pichle dino mere mobile balance se 45rs deduct ho gaye aur mujhe msg mile ke aapne apne no. par callertune subscription activate kiya hai jiska charge 30 per month aur callertune download karne ka charge 15 rs hai. ye sab dekhte hi mobile company ko bahut si galiyan dene ka man kiya, maine customer care par call ki aur baat ki to bola sir ye apne khud hi lagayi hai aur isliye iska charge laga hai.
maine usse kaha ki main mobile me lock laga kar rakhta hu aur koi aisa chhota baccha bhi nahi jo mere piche mobile ko koi button daba de aur sabse badi baat mobile meri hi pocket me rehta hai to fir ye service kaise lag gayi?? maine kaha ye service deactivate karo aur mera balance refund karo to bola sir ye service apne hi lagayi thi to iska balance apko wapas nahi milega.
itna sunkar mera temper loose ho gaya aur maine kaha tu kaun hota hai ye kehne wala mujhe paise wapas nahi milenge tujhe customers ki query solve karne ke liye baithaya hai aur jis kaam ki salary tu le raha hai use thik se kar, itna sunkar wo bola sir aap thik se baat kijiye nahi to mujhe call disconnect karni padegi.
Maine usse uska naam pucha to pehle thoda ruka aur fir apna naam bataya, fir main usse bola apni employee ID batao to wo ekdum sak paka gaya aur bola sir meri ID se apke balance ka kya relation?? maine kaha tumhare aur tumhari company ke against Consumer court me case karunga aur TRAI me bhi tumhari complaint karunga.
fir wo ekdum se narm pad gaya aur bola sir apka kitna balance deduct hua hai?? maine kaha 45rs. bola sir hold kijiye main apka balance refund kar raha hu 48 hours me apko mil jayega. main bola mujhe balance abhi chahiye mujhe abhi urgent call karni hai aur agar tumse meri problem solve nahi hoti to apne kisi senior ko meri call proceed karo.
to kehne laga sir aap balance check kar lijiye maine yahan se balance send kar diya hai. maine balance check kiya to pura balance aa chuka tha.
Aisi hi problem aapke sath bhi shayad hoti ho jab bina kuch kiye hi koi bhi service activate ho jati hai aur balance deduct ho jata hai.
Ye ab mobile companies ki policy ban chuki hai wo customers ko pareshan karte hain. jo himmat karke bol gaya to uska balance refund ho jata hai warna gaya apka balance.
agar apke sath bhi aisi koi problem aa rahi hai aur apko bewajah pareshan kiya ja raha hai to aap in companies ya aur bhi kisi problem ki complaint is site par kar sakte hain jiska naam hai
Grahak Seva.
Upar website ka link hai agar aap complaint submit karna chahte hain to
yahan karein.
Freinds jo hamara haq hai wo hamein milna chahiye aur in sabhi companies ki manmani mat hone dijiye. himmat karke boliye, agar aap shuruaat nahi karenge to koi aur karega.
Take care freinds