Tuesday, September 13, 2011

How to disable Autorun.


Virus apke pc me aane ka bahana dhundta hai. aur Autorun program sabse pehle uski help karta hai. Autorun ki wajah se hi bahut se virus hamare pc me enter kar jate hain. Agar aap chahe to sabhi Drives me se Autorun ko disable kar sakte hain.

1. sabse pehle Run command open karein aur wahan gpedit.msc type karke enter press karein.

2. Group policy window open hone ke baad Computer Configuration ko expand karein fir Administrative Templates ko expand karein aur System par click karein.



3. Ab right side me Turn off Autoplay key ko find karke us par double click karein.

4. New window me Enable ko select karein aur Apply karke Ok kar de.



5. Ab User configuration ko expand karein aur fir Administrative Templates ko aur System par click karein.

6. yahan bhi Turn off Autoplay key ko find kijiye aur us par double click kijiye aur step 4 ko repeat kijjiye.

try kijiye.

freinds ab Exam tak kam hi likh paaunga ya shayad na bhi likh saku. lekin aap log apna pyar is blog ke sath banaye rakhiyega.. thanks to all freinds for Appreciating me.

Take care freinds.

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More