Tuesday, September 20, 2011

Twitter, now in hindi.


Twitter ab social network ki duniya me jana pehchana naam hai. iske popular hone ki ek wajah ye bhi hai ke bollywood aur hollywood ke lagbhag sare celebrity yahan mil jate hain, aur apne followers se connect rehte hain. in sab me kuch log aise bhi hain jo sirf apni mother language me hi net chalana pasand karte hain. aur unme se HIndi users bahut sare hain. ab facebook aur google to pehle se hi hindi ko support karte hain lekin twitter ne abhi tak aisa kuch nahi kiya tha.

Par ab lagta hai twitter ne bhi sabhi hindi users ko twitter join karane ka pura man bana liya hai. pehle to users google transliteration se kaam chala liya karte the par ab iski koi zarurat nahi rahegi. Ab aap direct hindi me tweet kar payenge. ek baar page visit kijiye ho sakta hai aapka bhi twitter join karne ka man ho jaye.

Twitter ke hindi page par jaane ke liye yahan click karein.

Ap yahan mera twitter account bhi dekh sakte hain.

Take care freinds.

Tuesday, September 13, 2011

How to disable Autorun.


Virus apke pc me aane ka bahana dhundta hai. aur Autorun program sabse pehle uski help karta hai. Autorun ki wajah se hi bahut se virus hamare pc me enter kar jate hain. Agar aap chahe to sabhi Drives me se Autorun ko disable kar sakte hain.

1. sabse pehle Run command open karein aur wahan gpedit.msc type karke enter press karein.

2. Group policy window open hone ke baad Computer Configuration ko expand karein fir Administrative Templates ko expand karein aur System par click karein.



3. Ab right side me Turn off Autoplay key ko find karke us par double click karein.

4. New window me Enable ko select karein aur Apply karke Ok kar de.



5. Ab User configuration ko expand karein aur fir Administrative Templates ko aur System par click karein.

6. yahan bhi Turn off Autoplay key ko find kijiye aur us par double click kijiye aur step 4 ko repeat kijjiye.

try kijiye.

freinds ab Exam tak kam hi likh paaunga ya shayad na bhi likh saku. lekin aap log apna pyar is blog ke sath banaye rakhiyega.. thanks to all freinds for Appreciating me.

Take care freinds.

Saturday, September 10, 2011

Download TEKKEN 3 (full) for your PC.


Playstation ke world me Tekken 3 ek bahut popular game hai. sabhi age ke log ise khelna pasand karte hain, Playstaion par to maine bhi ise bahut khela hai. Aur ab bhi time milta hai to Pc par bhi khelta hu.

Ise download karne ke baad shayad aap ise na chala payein isliye apki thodi help kar deta hu.

sabse pehle game ko download kijiye. uske baad download ki hui file ko unzip kijiye. unzip karne ke baad folder ko open kijiye. folder me apko kuch files dekhengi. sabse pehle usme se registery file par double click kijiye jisse wo file registery me merge ho jaye. Registery ko merge kiye bina game start nhi hoga. lekin ye aapko sirf ek baar hi karna hai.



bas uske baad shortcut se aap game start kar sakte hain.

Tekken 3 yahan se download karein

Friday, September 9, 2011

Video convertor for your PC

Jab se multimedia cell phone market me aaye hain. tab hi se bahut saare convertors famous ho chuke hain. aaj main bhi apke liye Ek convertor laya hu jo apki audio aur video files jis farmat me aap chahe convert kar dega.

ho sakta hai aap pehle se koi convertor use kar rahe ho lekin ise use karne ke baad aap shayad dusre convertors ko use karna band kar denge.

iski converting process bhi bahut asan hai, sabse pehle aap wo format select kijiye jisme aap apni file ko convert karna chahte hain aur fir apni file ko converter me drag karke drop kar dijiye. converting automatically start ho jayegi. apki help ke liye niche ek picture di hai

Is chote se convertor ko yahan click karke download kijiye.

take care freinds. enjoyy

Tuesday, September 6, 2011

Reduce Image size without losing its quality.

Isse pahle bhi main is topic par post de chuka hu jise aap yahan padh sakte hain. kyunki Social network par agar aap photos share na karein to maza nahi aata. lekin kuch images size me itni badi hoti hain. jo bahut der me load hoti hain aur unki wajah se page der me open hota hai. aur aisi images upload hone me bhi bahut time leti hain. Kyunki aajkal jo digital cameras se photos liye jaate hain wo size me bahut bade hote hain. lekin agar aap chahein to unka size kam kar sakte hain bina unki quality khoye.
 
ye software free hai aur windows installer aur portable dono version me available hai.



Take care freinds

Monday, September 5, 2011

Add water reflection in your photos

Abhi kuch din pehle mujhe kuch freinds ne Photoshop ke kuch tutorials dene ka baare me kaha, jo main abhi kuch dino baad se dena shuru karunga, abhi mere exams kafi nazdik hain jinki wajah se ab net par bhi thoda kam time dunga lekin aap logo ke touch me rahunga.

Aaj main apke liye aisa software laya hun jiska use aap kisi bhi image me water reflection lagakar kar sakte hain. aap photoshop jante ho ya nahi isse koi fark nahi padta, ye bahut Easy to use hai.

yahan par apni ek photo de raha hu, apki photo me bhi isi ki tarah photo ke niche water reflection aa jayegi.


ye software sirf 552Kb ka hai aur portable bhi hai to isko install karne ki bhi zarurat nahi hai.

Software ko download karne ke liye yahan click karein.

take care freinds

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More