Sunday, December 19, 2010

How to send a video in Orkut scrap

Pehle mujhe orkut par freinds youtube ke videos ke link bhejte the main un par click karta to ek aur page open hota phir uspe video play hoti.

ye ek bada lamba process tha jisse kafi boriyat hoti thi, isse acha kyun na hum direct video hi send kar dein aur wahin par video dekh li jaye.


main to apne dosto ko video hi send kar deta hun.
lekin orkut me video send karne ke 2 tariqe hain ya to pehle video scrap me upload karo fir bhejo ye tariqa thoda time leta hai. jabki dusra tariqa bahut hi simple hai. aur time bhi save karta hai.

apko zyada dimag ladane ki zarurat nahi hai bus youtube par jaiye apni favourite video search kijiye aur jab video mil jaye to usko open kijye aur video player niche Embed likha hoga use find karke us par click kijiye.

ab apko embed code mil jayega, bas, ise copy kijiye aur apni scrapbook me paste kar dijye, lekin paste karne se pehle right side par upar HTML ke button par click zarur kariye.

ab jab aap us code ko post karenge to post hone ke baad apko ek video dikhai degi jaisi aap upar image dekh rahe hain.

take care freinds

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More