Monday, December 6, 2010

The best way to lock the files yet...


Ab tak apko apni hard disk me file lock ya hide karne ke kafi sare method pata chal chuke honge. lekin unme kahin na kahin kuch kami thi. maine pehle bhi bina software ke folder lock karne ka tariqa yahan bataya tha.

lekin jitne bhi method hame pata hain unme se sabhi me kuch na kuch kami hain. lekin jo tariqa main apko ab bataunga wo bahut easy aur safe hai.


bas apko ek chota sa software Lockdir.exe download(file) karne hoga. iske baad jis folder ki files apko protect karni ho us folder me Lockdir.exe ko paste kar dijiye. us par double click kijiye aur apna password daal dijiye. sari files lock(hide) ho jayengi.

unlock karne ke liye phir usi folder par double click kijiye, password daliye, files phir se show ho jayengi. iska ek fayda ye hai ke agar folder me se Lockdir.exe delete bhi ho jaye to kahin se bhi wapas copy karke usi folder me paste kar dijye, password daliye sari files fir se wapas aa jayengi..

niche do link hain kisi par se bhi Lockdir.exe download kar sakte hain.


Lockdir.exe link1

Lockdir.exe link2


take care freinds.

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More