Friday, December 31, 2010

HAPPY NEW YEAR 2011 TO ALL

sabse pehle sabhi ko naya saal bahut bahut mubarak ho.

naye saal pe nayi soch ke sath nayi zindagi shuru karni hai. kafi din se apne blog par main apko technical post de raha hun.lekin saal ke akhri din aisa kuch nahi karunga aaj kuch badhiya aur interesting karne ka mood to tha hi to mil gaya mujhe bahana post dene ka.

main ek dost ke ghar par baitha tha jinka naam "Asjad" hai unki hard disk me hi mujhe kuch interesting mil gaya jo main aapse share kar raha hun.

Tuesday, December 28, 2010

No need to know Hindi keywords for hindi typing

hii freinds jo apne upar title me padha bilkul theek padha. aajkal Hindi typing ki bahut demand hai lekin sabse badi problem ye hai ke logo ko hindi typing nahi aati jisse log kai baar apni job kho baithte hain mere bahut saare freinds ke saath aisa hi hua. lekin ab aap hindi typing kar sakte hain bahut hi asani se aur apna time save karke. kyunki hindi ke keywords yaad rakh pana bada mushkil kaam hai.

Saturday, December 25, 2010

The new Maxthon web browser..

maxthon browser ek naya browser hai. main kal hi net par sarf kar raha tha to mujhe ye mil gaya to socha aap logo se share kiya jaye. isme apko dher saare badhiya feature milenge. aur ye bilkul user freindly hai. chalane main aur samjhne me bilkul waqt nahi lagega. aur ye baki ke browser se bhi kaafi behtar hai(aisa isko banane wale kehte hain). maine abhi tak try nahi kiya hai aap ise download kijiye aur try kijiye.

Wednesday, December 22, 2010

Repair your PC errors in just 10 minutes..


Agar hamare computer me virus aa jaye ya koi ghalat software download kar lein to kai baar windows ki files currupt ho jaati hain jisse windows sahi se run nahi kar paati, aur fir aakhir me hame dobara se windows install karni padti hai aur saare softwares bhi. ye kaam bada thaka dene wala hai time bhi bahut leta hai.

lekin main aapko aisa tariqa bata raha hun jisse aap windows ki sabhi currupted files aur error ko sirf 10 mint me theek kar sakte hain.

Download Games,movies and softwares For free...





freinds game khelne ka shauka to apko hoga hi. aur agar sath me kuch badhiya si movies aur free software bhi mil jaye to kya baat hai.

ab ye sab apko mil jayega ek hi jagah par. main kuch zyada nahi bataunga bas aap yahan click kijiye aur pahunch jaiye nayi duniya me aur download kijiye games,movies aur software bilkul free..

Sunday, December 19, 2010

How to send a video in Orkut scrap

Pehle mujhe orkut par freinds youtube ke videos ke link bhejte the main un par click karta to ek aur page open hota phir uspe video play hoti.

ye ek bada lamba process tha jisse kafi boriyat hoti thi, isse acha kyun na hum direct video hi send kar dein aur wahin par video dekh li jaye.

Some Cool Testimonials for Orkut [Part-3]


main pehle bhi kuch badhiye se testimonials par post de chuka hun jo yahan or yahan hain.

ab kuch aur naye try kijiye.

Make your own animated signature



hello freinds, aap jab kabhi kisi website par jaate hain aur kisi ke signature dekhte hain to zarur sochte honge ki kaash aap bhi apna digital ya animated signature bana sakein.

Friday, December 17, 2010

Animate your photo with online funny and amazing effects

freinds photo to aap edit karte hi honge lekin online photo editing shayad aapne kabhi na ki ho, to chaliye main aap ko le chalta hun ek aise website par jahan aap apne manpasand effect select karke unko apni marzi se edit kar sakte hain absolutely free......

Some intresting mathematical facts...

freinds waise to maths zyadatar student ko kuch khaas pasand nahi hota lekin asal me ye bahut interesting subject hai.

aur aaj main apke liye kuch aise hi mathematical facts lekar aaya hun jo bahut hi intresting hain.

Monday, December 13, 2010

Get email alerts on your mobile absolutely free !!!

Internet user ko internet par jo bhi kaam hote hain unme se email check karna to hota hi hai. kyunki ye communication ki sabse fast aur free service hai. aap within few seconds duniya ke kisi bhi kone me mail bhej sakte hain.

lekin problem ye hai ke har waqt  online rehna zara mushkil hota hai. to aisa kaun sa tariqa hai ki hume apne mail alerts milte rahein.

mujhe ek bahut hi zabardast tariqa mila hai jise aap jugaad bhi keh sakte hain. aur ye bilkul free hai aur 100% kam karta hai mera test kiya hua hai.

Sunday, December 12, 2010

The new and fast amazing web browser

Pehle to hum sabhi users sirf internet explorer hi use karte the kyunki ye windows ka default browser hai. kuch log ise majboori me chalate the to kuch logo ko dusre browser ke baare me pata nahi tha.

lekin jab se google chrome. mozilla aur opera jaise browser aaye hain tab se ie ka use to lagbhag band hi ho chala hai.

internet explorer use karne walo ki tadad day by day kam hoti jaa rahi hai, iski wajah hai naye browser ka freindly  use hona aur fast hona.

aap logo ne mozilla firefox, google chrome to chalaya hi hoga aur maine kafi din pehle ji ek indian browser epic ke baare me post bhi di thi jo yahan hai.

Friday, December 10, 2010

A website which tells "Date of Death"

freinds padhne me thoda ajib to lagega, lekin jab internet par sab kuch mil sakta hai to phir apni maut ki date kyun nahi mil sakti.

bilkul aisi hi ek ghadi mili hai jo maut ka waqt batati hai. darane ki achi koshish hai magar phir bhi main hasa jab maine is ko dekha.


dariye mat dosto ye to bas ek normal website hai jahan kuch calculation ko base banakar ye website batati hai ki hamari umr kitni hai. ya kitni hogi, zyada sochiyega mat bas thoda enjoyment ke liye is website par jakar apni detail fill kijiye aur pata kijiye Your date of death.

Monday, December 6, 2010

The best way to lock the files yet...


Ab tak apko apni hard disk me file lock ya hide karne ke kafi sare method pata chal chuke honge. lekin unme kahin na kahin kuch kami thi. maine pehle bhi bina software ke folder lock karne ka tariqa yahan bataya tha.

lekin jitne bhi method hame pata hain unme se sabhi me kuch na kuch kami hain. lekin jo tariqa main apko ab bataunga wo bahut easy aur safe hai.

Earn money from Internet just by reading emails...

hello freinds aaj main apke liye aisa tareeqa laya hun jisse apka online time bekaar nahi jayega.

jab aap online hote hain apne mails dekhte hain to time ka pata nahi chalta, phir yu bhi kuch log kehte hain ki net time consuming ka sabse badhiya tareeqa hai, lekin ab aap sirf internet par time paas na karein balki use time ka bhi use karein kyunki aap to jante hai ki aaj ke daur me time is money so uska utilisation bhi to hona chahiye,

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More