Monday, March 9, 2015

Enjoy Your Android Apps On Desktop

Is topic ke regarding mujhe bahut se message aa chuke hain, actually mujhe pehle hi is topic par post deni chahiye thi. par chalo thoda late hi sahi.

Aap apne android apps ko apne desktop par use kar sakte hain. jaise bahut se log apne android games ya application ka desktop version chahte hain jinme kuch special apps ka desktop version to mil jayega par sabhi ka nahi.


Is condition me jab apko apni sabhi applications ko desktop par chalana hai to aap ek App player ki help se aisa kar sakte hain. Is App player ka naam hai Bluestacks jo ek Android emulator hai PC aur Mac ke liye.

Isko Operate karna bahut asaan hai, jaise koi video player hota hai aur apki videos usme play hoti hain bas kuch isi tarah hai app player jo android apps apke desktop par play karne me help karta hai.

Bluestacks ke bare me aur information aur download karne ke liye yahan jayein.

1 comments:

Bhai mobile facebook phishing ke bare me koi post dijiye
Please.!!

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More