Monday, March 9, 2015

Enjoy Your Android Apps On Desktop

Is topic ke regarding mujhe bahut se message aa chuke hain, actually mujhe pehle hi is topic par post deni chahiye thi. par chalo thoda late hi sahi.

Aap apne android apps ko apne desktop par use kar sakte hain. jaise bahut se log apne android games ya application ka desktop version chahte hain jinme kuch special apps ka desktop version to mil jayega par sabhi ka nahi.


Is condition me jab apko apni sabhi applications ko desktop par chalana hai to aap ek App player ki help se aisa kar sakte hain. Is App player ka naam hai Bluestacks jo ek Android emulator hai PC aur Mac ke liye.

Isko Operate karna bahut asaan hai, jaise koi video player hota hai aur apki videos usme play hoti hain bas kuch isi tarah hai app player jo android apps apke desktop par play karne me help karta hai.

Bluestacks ke bare me aur information aur download karne ke liye yahan jayein.

Friday, March 6, 2015

Finally, I am back!!! let's do something interesting

Is baar to wapas aane me kuch zyada hi waqt lag gaya. bilkul bhi waqt nahi mil pa raha tha blogging ka bas thoda bahut social sites par active tha. lekin is baar I try my best to be a regular blogger.

Mujhe apne visitors se kuch suggestion bhi chahiye is baar. Par pehle baat karte hain aaj ki post ki.

Koi zyada technical post nahi dunga kyunke bahut waqt ho gaya post diye hue to kuch intresting karte hain.

Aap me se mostly net users Google Chrome to use karte hi honge. aaj ki post unhi logo ke liye hai jo ye browser use karte hain. kabhi kabhi jab Internet disconnect ho jata hai to aap browser me ek chota sa dinasaur dekhte hain. jisko Google ne T-Rex dinasaur ka naam diya hai jo apke offline hone par chrome me kuch aise dikhta hai.

Ye Screenshot Android cellphone se liya gaya hai aur aap jab desktop chrome use karenge to offline hone par ye T-Rex dinasaur hi dikhega. aur jab apka net chal hi nahi pa raha ho to aap apna time spare karne ke liye ise ek game me convert kar sakte hain jo Google ne Chrome me in built diya hai.

Bas apko is dinasaur ke dikhne par space bar se is addictive game ko activate kar sakte hain. aur game kuch is tarah se chalega.
aur isse bhi zyada intresting baat ye hai ke aap is game ko Android par bhi khel sakte hain. bas diffrence itna hai ke dektop par apko space baar use karna hai aur Android device par screen par tap karna hai. par uske liye apko offline hona zaruri hai.
isse pehle Youtube ke bare me bhi maine ek aisi hi post di thi jise aap yahan click karke padh sakte hain.
aur meri last post bhi Chrome ke ek offline feature ke bare me thi jise aap yahan click karke padh sakte hain.

Important!!
1. Mujhe kafi sare friends ke msg whatspp ke desktop version ke bare mile aur bahut se msg abhi tak main padh bhi nahi paya hoon. I thought main us topic ke liye late ho gaya hoon aur aap sab logo ko wo use karna aa gaya hoga. lekin agar abhi bhi aapme se kuch logo ko doubt hai to comment me batao main us topic par post de dunga.

2. Dusri baat main ye puchna chahta hoon ke main apke is blog ki post agar English me deni shuru kar doon to koi prob to nahi?
Maine jab se is blog ko shuru kiya tabhi se HINGLISH me post karta hoon kyunke mujhse kuch logo ne aisa karne ko kaha tha par ab unme se kisi ko koi problem nahi. so agar kisi visitor ko problem na ho to main bhi english me hi post karna chahunga.
apni suggestion zaroor dein. That means a lot to me guys. dont forget to comment about it.

Take care & stay tuned for the next post

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More