Friday, June 20, 2014

How To Play Videos files Without Any Player


Kabhi kabhi aisa hota hai ke aapne windows format ki aur apne pc me koi video player bhi nahi hai. aap offline hain aur internet bhi nahi chala sakte. aur aise me aap windows ke default player Windows media player me bhi use play nahi kar pa rahe hain.

Kyunki windows media player me bahut se format support nahi karte aur agar aap mp4 ya mkv jaisi files usme chalana chahte hain to apko alag se codecs install karne padte hain. ab aisi condition me jab aapke paas koi bhi option nahi hai file play karne ke liye tab aap ek kaam kar sakte hain.

agar koi bhi player apke paas nahi to bhi aap file play kar sakte hain par uske liye apke paas Google Chrome Browser hona chahiye. jisme aap hd file format jaise MKV aur MP4 easily play kar sakte hain. bas iske liye apko wo file drag karke chrome browser me drop karni hogi aur file browser me play ho jayegi.

Iske alawa Chrome browser ki help se audio files bhi play ki ja sakti hain.

Take care freinds.

2 comments:

muje laptop me whats app download karna hai please uske liye koi trick bata den

MERE PC ME KOI MEDIA PLAYER DOWNLOAD NAI HO RAAH AUR MUJHY MOVIE ME SE SE PIC SHOOT KARNI HAI KINDLY KOI MEDIA PLAYER SEND KAR DEN YA TARIKA BTA DEN THANK YOU

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More