Friday, June 20, 2014

How To Play Videos files Without Any Player


Kabhi kabhi aisa hota hai ke aapne windows format ki aur apne pc me koi video player bhi nahi hai. aap offline hain aur internet bhi nahi chala sakte. aur aise me aap windows ke default player Windows media player me bhi use play nahi kar pa rahe hain.

Kyunki windows media player me bahut se format support nahi karte aur agar aap mp4 ya mkv jaisi files usme chalana chahte hain to apko alag se codecs install karne padte hain. ab aisi condition me jab aapke paas koi bhi option nahi hai file play karne ke liye tab aap ek kaam kar sakte hain.

agar koi bhi player apke paas nahi to bhi aap file play kar sakte hain par uske liye apke paas Google Chrome Browser hona chahiye. jisme aap hd file format jaise MKV aur MP4 easily play kar sakte hain. bas iske liye apko wo file drag karke chrome browser me drop karni hogi aur file browser me play ho jayegi.

Iske alawa Chrome browser ki help se audio files bhi play ki ja sakti hain.

Take care freinds.

Thursday, May 22, 2014

How To Make Your Computer A WiFi Hub Without Any Software

Aapme se zyadatar logo ne WiFi se internet use kiya hi hoga. aur main apko bata du WiFi set up karna koi zyada mushkil kaam nahi hai. Agar aap apne Computer/Laptop par internet use karte hain aur apke Computer me WiFi card bhi laga hai to aap apne Computer/Laptop ko WiFi hotspot bana sakte hain jisse dusre users bhi usi connections se apni device connect kar sakein. aur aisa karne me aapko wires ki aur kisi software ki zarurat nahi hai.



Notepad use karke aap aisa kar sakte hain. To chaliye dekhte hain kaise hota hai ye sab.

1. Sabse pehle Notepad open kijiye aur niche diya hua sara code usme copy kar djiye.





netsh wlan set hostednetwork mode=allow ssid=WiFi Hub key=12345
netsh wlan start hostednetwork





2. Ab jahan Code mein Wifi Hub likha hai wahan aap koi bhi SSID name Set kar sakte hain jahan 12345 likha hai wahan WiFi ke liye password set kar sakte hain.

3. Ab Is notepad file ko Desktop par hi start.bat ke naam se save kar lijiye. jisse ye ek batch file me save ho jayegi.

4. Ab fir se notepad open kijiye aur niche diya hua code usme paste karke use stop.bat ke naam se pehle wali batch file ke sath hi save kar dijiye.





Ab jab bhi apko apne Computer ko WiFi Hub banana ho to start.bat file par double click kijiye aur kisi bhi dusri device chahe computer laptop ya fir mobile me aap net use kar payenge aur jab apko ise band karna ho to Stop.bat  file par click kijiye WiFi close ho jayega.

Take care friends

Monday, May 19, 2014

Some Popular Photo Editing Apps For Android

Isse pehle bhi Android par post likh chuka hoon. ab jab koi chiz itni zyada popular ho rahi ho to uspar to likhna banta hai na.

Aaj kal sabhi log apni photos ko edit karke social sites par upload karna pasand karte hain. to aaj hum kuch aise hi android apps ki baat karenge jo Play store par most downloaded hain aur apke photo edit karne me help bhi karenge. ye sabhi softwares Google play par free mein available hain.

Android apps ko direct PC me kaise download karein ye main pehle bhi bata chuka hoon agar koi nahi janta to link par click karke wo post padh sakte hain.

to ye rahe wo android apps jinki help se aap apne photo ko ek naya look de sakte hain.





























 



Inme se 7 to maine personally use kiye hain. to aap bhi edit kijiye apne photos ko aur enjoy kijiye.

Take care friends

Friday, May 9, 2014

Some Important Google URLs That Everyone Must Know


yahan apke samne kuch aise URLs de raha hu jo handy aur useful hain aur ek internet user ko to pata hone hi chahiye.

1. Sign Up for new Google Accout
wese to regular process me agar aap koi naya google account banate hain to apko apna @gmail.com address hi username ke liye dalna padta hai lekin is khas URL se aap koi bhi email address apne username ke liye use kar sakte hain

https://accounts.google.com/SignUpWithoutGmail

2. How Google sees you on the web
Google apke profile khud banata hai ke kis types ki websites aap visit karte hain aur kya activities karte hain. apke Google+ account aur gmail se info li jati hai. aur apki age aur gender ke according hi apko Ads dikhaye jate hain. Is URL se aap apne liye Ads ki settings kar sakte hain.

https://www.google.com/ads/preferences/

3. Download your Data
google ecosystem par jo bhi apne data aur information upload ki hui hai agar aap chahein to use download karke save kar sakte hain jaise apke photos, contacts, gmail messages aur youtube ki videos bhi. is link ki help se aap backup le sakte hain.

https://www.google.com/settings/takeout

4. Complaint With Google
Agar apki website ka content koi apni website par copy kar raha hai jaise Blogger, Adsense, Google+ aur Youtube to aap Google se is baare me compaint kar sakte hain jisse wo content us website se hataya ja sake.

https://support.google.com/legal/

5. History of your searched terms
aap Google par jo bhi search karte hain un sabko google apne paas record kar leta hai. aur apne kis ad par kab click kiya in sab ki info google ke paas hai. apni history janne ke liye is URL ka use kijiye.

https://history.google.com/

6. Reminder for inactive accounts
Apko apne Gmail account ko har 9 months me login karna zaruri hota hai agar aap aisa nahi karte to google apni Program policies ke according account ko terminate kar deta hai.
aur agar apke paas ek se zyada Gmail accounts hain to ye ek badi problem ho jati hai. isliye aap apne main account ko trusted account banayiye apne doosre secondry accounts ka. jisse apko Google time to time reminder send karta rahega apne secondry accounts mein login karne ke liye.

https://www.google.com/settings/account/inactive

7. If Your Account is Hacked
Agar apko lagta hai apka google account hack kar liya gaya hai to activity report se sara log dekha ja sakta hai ke kisne kab apke account ko login kiya. aap uska I.P address aur Geographic location bhi jaan sakte hain.

https://security.google.com/settings/security/activity


take care friends

Thursday, May 8, 2014

Your Blog Has Restarted, Stay Tuned For Updates


Hello friends aap soch rahe honge ke ye blog aap kyun nahi open kar paa rahe hain. Is regarding bahut se visitors ke aur mere friends ke msgs aur e-mails bhi mujhe mile. Actually kisi wajah se Google ne mere blog ko lock kar diya tha main khud samajh nahi paya tha par ab maine problem sort out kar li hai aur ab main fir se apke samne hoon.

mujhe pichle dino bahut se topics par post likhni thi par blog lock hone ki wajah se koi post likh nahi paya aur ab un topics par likhunga nahi kyunki ab wo purane ho chuke hai par aapke liye kuch badhiya se post lekar aaunga tab tak enjoy kijiye. And keep showing your Love & affection to me.

take care

Saturday, January 4, 2014

How To Download APK Files From Play Store To Your PC

Android mobiles me run karne wali application APK files me packaged hoti hain. Aap in APK files ko kisi bhi android device me copy karke install kar sakte hain.

Lekin Google Play Store se koi bhi app direct device me install ho jati hai aur uski package file ko hum save nahi kar pate. iske liye maine pehle bhi ek post de chuka hun ke kaise Play Store se install ki hui files ka backup liya jaye. jise aap yahan aur yahan padh sakte hain.

Par agar hum direct Play Store se hi APK file download kar payein wo bhi direct PC mein to use hum future me kisi aur device me bhi use kar sakte hain.


Iske liye Apko ek website par jana hoga jo apko Play Store se direct APK file download karne ki facility deti hai, is site ka naam hai Evozi.

Sabse pehle Google Play Store par jaiye aur aur jo bhi application apko download karni hai uska url copy kijiye, fir usko http://apps.evozi.com/apk-downloader/ par jakar paste kijiye aur "Generate Download Link" par click kijiye. aisa karne par ek Download button aa jayega jispar likha hoga "Click here to download YOUR FILE NAME"

us par click karte hi apki file download honi start ho jayegi. aur jab ye APK files directly Google Play se is website ke server par aa rahi hain to ye files infected bhi nahi hain aur na hi inme kisi tarah ka koi virus hai.

Par application piracy ko rokne ke liye aap yahan se sirf wahi application download kar sakte hain jo Play Store par Free available hain Paid applications yahan se download nahi ki ja sakti.

Take care freinds

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More