Thursday, September 26, 2013

How To Find Your Lost Android Phone


Sorry friends is baar kuch zyada hi waqt ho gaya post karne me. par main kuch aisi conditions me tha ke post karne ka time hi nhi mil paya. I hope aap kafi waqt se post ka wait kar rahe honge. chaliye to fir baat karte hain aaj ki post ki.

Jaisa ki aap dekh rahe hain aajkal android phones bahut demand me hain, har koi android based phone chalana chahta hai aur worldwide iske users day by day increase bhi hote ja rahe hain. ab jitne zyada phones hote hain to unke khone ka khatra bhi utna hi zyada hota hai.

par agar aap ek android user hain aur apka mobile kho gaya hai to aap bahut asani se uski location pata kar sakte hain. ya fir apko apne kisi friend/relative ki location pata karni ho to bhi aap android phone ki help se easily aisa kar sakte hain.

Aisa karne ke liye apko khoye hue android phone ki Google ID aur password pata hona chahiye.

Sabse pehle apne android phone me Settings>Security>Device Administrators par jayiye. yahan par Android Device Manager ko activate kar dijiye



Android Device Manager hi wo facility hai jiski help se aap khoye hue phone ki location pata kar sakte hain.

Uske baad is link par jakar apne Google ID se login kijiye. isme aapko mainly 3 facilities milti hain.

1. LOCATION:
Isme aap jaan sakte hain ki at that time apka mobile kis jagah par chalaya ja raha hai. is feature ko use karne ke liye apne mobile data on karke GPS start karna na bhule.

2. RING:
Isse apka phone 5 minute tak ya tab tak ring karta rahega jab tak power button na dabaya jaye.

3. ERASE DEVICE:
Is feature se aap apne phone ko factory reset kar sakte hain. it means jab bhi apke phone me Internet access kiya jayega to use factory reset ki command mil jayegi aur phone ka sara data aur settings erase ho jayengi iske liye apko Google settings me jakar Allow Remote Factory Reset ko activate karna hoga. par isse apke removable SD card me jo data hai wo Erase nhi hoga.


I hope ye information apke kaam ayegi aur aap iska misuse nahi karenge.

take care freinds
STAY TUNED :)

2 comments:

bhai windows phone me ye kaise hoga

agar device active na kia ho to phir kese mobile ka data access kar sakenge?

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More