Sunday, September 29, 2013

How To Share Installed Apps With Bluetooth


Maine pehle ek post di thi jisme bataya tha ke Android smartphones mein kaise aap Installed file ka back up lekar use share kar sakte hain.

Par usme pehle share karne ke liye apke paas backup file honi chahiye agar backup nahi hoga to aapko backup create karna hoga. lekin jo tarika main apko is post mein batane wala hu uske liye apko kisi bhi app ya game ka backup lene ki zarurat nhi hogi aap direct kisi bhi application ko share kar sakte hain.

Iske liye apko apne android mobile me ek choti si application download karni hogi. Jiska naam hai Bluetooth App Sender.
Aap ise Google Play Store se download kar sakte hain ye application free hai.

Upar link se download na ho to mobile mein Play store open karke usme Bluetooth App Sender name se search kijiye.

Is app ko use karna bahut easy hai bas app ko launch karte hi apke mobile ki sari apps wahan dikhayi dengi. Ab jis file ko aap share karna chahte ho us par touch kijiye aur apko send ka option dikh jayegi. so simple



So friends make sharing more easy & Take care yourself.

Friday, September 27, 2013

A Download Manager Which Supports Youtube Also


Download manager ne downloading ko bahut hi asaan bana diya hai. chahe apko koi big file download karni ho ya koi audio/video bahut hi easily apki downloading ho jati hai.

Ye download managers facilities bhi achi dete hain jaise resuming capability ya fir multi part downloading.

Aaj bhi main aise hi Download manager ki baat kar raha hu jiska naam hai Eagleget. ye apki files ko download karta hai aur sath hi sath youtube ko bhi support karta hai.

Youtube open karne par apko downloading ke liye ek Additional button dikhayi dega uspar click karke apne pasand ka format choose kijiye aur video download kijiye.

Ye sabhi main browsers jaise Chrome, Firefox, Opera aur IE ko support karta hai to aap ise browser se bhi right click karke use kar sakte hain aur chahe to direct ise launch karke isme link paste karke bhi use kar sakte hain. isme kuch kamal ke features bhi hain jinko aap ise install karne ke baad khud dekh payenge.

Iski sabse achi baat ye hai ke ye bilkul free hai aur size mein bhi sirf 4mb ka hai. to abhi download kijiye aur try kijiye.

Take Care friends

Thursday, September 26, 2013

How To Find Your Lost Android Phone


Sorry friends is baar kuch zyada hi waqt ho gaya post karne me. par main kuch aisi conditions me tha ke post karne ka time hi nhi mil paya. I hope aap kafi waqt se post ka wait kar rahe honge. chaliye to fir baat karte hain aaj ki post ki.

Jaisa ki aap dekh rahe hain aajkal android phones bahut demand me hain, har koi android based phone chalana chahta hai aur worldwide iske users day by day increase bhi hote ja rahe hain. ab jitne zyada phones hote hain to unke khone ka khatra bhi utna hi zyada hota hai.

par agar aap ek android user hain aur apka mobile kho gaya hai to aap bahut asani se uski location pata kar sakte hain. ya fir apko apne kisi friend/relative ki location pata karni ho to bhi aap android phone ki help se easily aisa kar sakte hain.

Aisa karne ke liye apko khoye hue android phone ki Google ID aur password pata hona chahiye.

Sabse pehle apne android phone me Settings>Security>Device Administrators par jayiye. yahan par Android Device Manager ko activate kar dijiye



Android Device Manager hi wo facility hai jiski help se aap khoye hue phone ki location pata kar sakte hain.

Uske baad is link par jakar apne Google ID se login kijiye. isme aapko mainly 3 facilities milti hain.

1. LOCATION:
Isme aap jaan sakte hain ki at that time apka mobile kis jagah par chalaya ja raha hai. is feature ko use karne ke liye apne mobile data on karke GPS start karna na bhule.

2. RING:
Isse apka phone 5 minute tak ya tab tak ring karta rahega jab tak power button na dabaya jaye.

3. ERASE DEVICE:
Is feature se aap apne phone ko factory reset kar sakte hain. it means jab bhi apke phone me Internet access kiya jayega to use factory reset ki command mil jayegi aur phone ka sara data aur settings erase ho jayengi iske liye apko Google settings me jakar Allow Remote Factory Reset ko activate karna hoga. par isse apke removable SD card me jo data hai wo Erase nhi hoga.


I hope ye information apke kaam ayegi aur aap iska misuse nahi karenge.

take care freinds
STAY TUNED :)

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More