Monday, April 8, 2013

Another Cool Trick To Lock A Folder

Maine pehle bhi kuch tricks batayi hain jinki help se aap apna folder secure kar sakte hain bina kisi software ke. aaj bhi apke sath aisi hi ek aur trick share kar raha hu jo apke personal data ko unknown logo se bachayegi.

1.sabse pehle apko ek folder create karna hoga, suppose apne koi folder xyz name se create kiya.

2. Jahan folder create kiya hai wahan 2 batch file banani hongi. pehli folder lock karne karne ke liye aur dusri unlock karne ke liye.

Notepad open kijiye aur niche diya hua sara code usme copy kar dijiye aur use lock.bat name se save kijiye jahan apka folder hai.




Fir se notepad open kijiye aur ye code usme copy kijiye aur use key.bat se name se save kijiye.




Ab folder ke sath apke paas do batch file hain jab apko folder lock karna ho to lock.bat par double click kijiye isse apka folder control panel ke icon me change ho jayega.

aur unlock karne ke liye key.bat file par double click kijiye to folder wapas aa jayega. aap chahein to apni dono batch files ko hide bhi kar sakte hain jisse koi aur folder ko lock ya unlock na kar sake.

Jin logo ke PC me ye trick work nahi kar paa rahi hai pehle wo My Computer ya Control panel me jakar folder option ko open karein aur usme View Tab me jakar dekhein ki Hide extensions for known file types ke aage box me check hai ya uncheck agar check hai to use uncheck karein jaisa niche image me dikhaya gaya hai.



NOTE- Folder lock karte waqt apke folder ka jo bhi naam ho use code me xyz se replace karna hoga. ya fir aap xyz name se hi folder create kar sakte hain

5 comments:

@naval: I have updated the post, now try again it'll definately work

Sir Mujhe ek solution chaahiye mere paas android mobile hai lekin uski internal memory bahut kam hai vo bhi sirf 127 mb hai lekin isme bahut kam software install ho paate hai par
mujhe software poore sd card mein install karna hai mein pareshaan ho gaya hoon iske liye koi solution dhundho na please please please aapse nivedan hai

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More