Friday, March 8, 2013

How To Install Android Apps From Pc To Android Mobile.



Abhi kuch din pehle maine january me sales hone wale handsets ki statistics padhi to pata chala ke 60% se zyada logo ne Android handsets ki demand ki aur baki 40% me Symbian, Java, Rim, Apple aur Windows smartphones the.

Android handsets ke common hone ke bahut sare reason hain jaise ye kafi user friendly hai aur sabhi Android Mobile ke features aur function same hi hote hain chahe Handset diffrent companies ke ho, aur Android Google ka operating system hai to isme apko bahut sari facilities in built milti hain. jaise aap Google Play Store se bahut sari applications aur Games download kar sakte hain jinme Paid aur Free dono hain.

Ho sakta hai aap pehle se hi koi android mobile use kar rahe ho to aapne shayad Google play se apps download bhi ki hongi. Par aaj main apko batata hu ki kaise aap koi bhi application ya game apne pc par download karenge aur wo automatically apke Mobile me install ho jayegi.

Aisa karne ke liye Apke PC aur Mobile dono me internet active hona chahiye. fir kuch steps se hokar aap aisa kar payenge.

1- Sabse pehle aap apne Android mobile ka internet(Packet Data) On kar lijiye.

2- Ab apne PC par Google page open kijiye aur jis Google Account se apne Mobile me Login kiya hua hai usi account se Google par login kijiye. Aur agar abhi tak koi account apne mobile par login nahi kiya hai to koi bhi Gmail Id se PC aur Mobile dono par login kijiye.



3- Ab Google page par jo bar hai usme Play par click kijiye.


4- Google Play Shop open ho jane ke baad Shop Android Apps par click kijiye.


5- Ab kisi bhi catogory ko click karke open kar lijiye jaise maine Free category ko open kiya hua hai. aur jo bhi application apko download karni ho uske niche Install button par click kijiye jisse ek aur Window apke samne open hogi.


6- Yahan par apne Handset ko select kijiye aur niche install button par click kar dijiye. kuch hi der me application apke Handset me Install ho jayegi.



Take care freinds

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More