Youtube par to sab hi video dekhna pasand karte hain kyunki ye ek itni huge community ban gayi hai ke apko yahan par har tarah ka content available hai, jaise Movies, Tv shows, Songs, Tutorials etc.
Ab jin logo ke paas fast internet connection hai unhe to koi problem nahi lekin jo slow connection se net use karte hain unke system par shayad hi koi online streaming video chal pati ho. kyunki streaming video ke liye fast receiving chahiye jo slow connection nahi de pate. Ab aise me ya to log video ko download kar lete hain ya fir video ko open karke uske buffer hone ka wait karte hain aur jab wo puri tarah se buffer ho jati hai tab video ko play karte hain, ye dono hi time consuming hain.
Ek tarika hai jisse ap slow connection par bhi bina buffering ke video dekh sakte hain, jiske liye apko vlc player ki zarurat hogi. ye sabse badhiya freeware player hai jo sabhi format ko support karta hai aur sabhi users isko achi tarah se jante bhi honge lekin agar apke paas ye player nahi hai to yahan jakar download kar lijiye.
Ab sabse pehle apko http://m.youtube.com par jana hoga. Site open hone ke baad jo video aap dekhna chahte hain use search kijiye aur us video par click kijiye.
Video par jakar Right click kijiye aur Copy Link Location / Copy link address par click kijiye
Ab Vlc player ko open kijiye aur Media mein jakar Open Network Stream par click kijiye jaise niche image mein hai ya fir Ctrl+N shortcut key ka use kijiye.
Ab jo nayi window open hogi usme video ka url paste kar dijiye, jo apne pehle hi copy kiya hua hai, aur niche play button par click kijiye.
kuch second baad apki video play ho jayegi.
lekin is tarah se play hone wali videos ki quality itni achi nahi hai aur aisa isliye hai kyunki ye youtube ka mobile version hai jise hum PC par use kar rahe hain. lekin jaisa ki aap log jante hain english mein ek Quotation hai "Something is better than nothing." aur ab mujhe aage kuch aur bolne ki zarurat nahi hai aap samajh hi gaye honge.
And In last but not the least.
I Wish you all A VERY HAPPY FRIENDSHIP DAY
6 comments:
agar window xp pro. Ko internet se download kare to kya karna padega.
Shazan Bhai Asslamu-Alaikum.
Bhai mujhe video play karne me kuch problem ho rhi hai aur wo problem neeche mai leekh raha hu...
-No suitable decoder module: VLC does not support the audio or video format "samr". Unfortunately there is no way for you to fix this.
Shazan bhai agar ye prblm ka koi solution ho to plz hame bataiye.
Allah-Hafiz
Idea 3g id-918 ka pc setup nahi mil raja hai please ise kaha download lkare sir please reply
Shazan Bhai mere computer me XP & win 7 load karne se RAM 2GB se 1GB Rah gayi isko wapas 2GB Kaise Karu
SHAZAN BHAI HAMARE COMPUTER ME INTERNET DOWNLOAD MANAGER PADA HAI LEKIN JAB USKO OPEN KARTE HAI TO USME KEY MAGTA HAI HAI . AUR HAMNE INTERNET SE USKI KEY DOWNLOAD KI HAI LEKIN KAM NAHI KAR RAHI HAI .AAP BATAYE KI ISKE KE LIYE KYA KAR,.PLZ
MY E-MAIL ADD- vikaskumar.talgram@gmail.com
ye trick to bahut good hai yaar
Post a Comment